SEARCH RESULTS
Showing search results for "kashish"
Sher MATCHES FOR "kashish"
Sher
maut ke darinde me.n ik kashish to hai 'sarvat'
log kuchh bhii kahte ho.n KHud-kushii ke baare me.n
Sarvat Husain
Sher
paa.nv saakit ho ga.e 'sarvat' kisii ko dekh kar
ik kashish mahtaab jaisii chehra-e-dilbar me.n thii
Sarvat Husain
Sher
allaah-re tere silsila-e-zulf kii kashish
jaataa hai jii udhar hii khi.nchaa kaa.enaat kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dekhne vaale ko tere dekhne aate hai.n log
jo kashish tujh me.n thii ab vo tere diivaane me.n hai
Shad Azimabadi
Sher
kyaa kiijiye kashish hai kuchh aisii gunaah me.n
mai.n varna yuu.n fareb me.n aataa bahaar ke
Gopal Mittal
Sher
chaa.nd cha.Dhtaa dekhnaa behad samundar par 'muniir'
dekhnaa phir bahr ko us kii kashish se jaagtaa
Muneer Niyazi
Sher
ham ne ba-sad KHuluus pukaaraa hai aap ko
ab dekhnaa hai kitnii kashish hai KHuluus me.n
Unknown
Sher
ajab kashish hai tire hone yaa na hone me.n
gumaa.n ne mujh ko haqiiqat se baa.ndh rakkhaa hai
Arshad Lateef
Sher
Ranjoor Azimabadi
Sher
Iqbal Ashhar
Sher
ye kis zamii.n kii kashish khii.nchtii hai mere qadam
ye kaun log bulaate hai.n mujh ko apnii taraf
Aziz Nabeel
Sher
ab vaada-e-fardaa me.n kashish kuchh nahii.n baaqii
dohraa.ii hu.ii baat guzartii hai giraa.n aur
Bismil Sabri
Sher
kaisii kashish hai ishq ke TuuTe mazaar me.n
mela lagaa hu.aa hai hamaare dayaar me.n
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
aur sargarm kiyaa terii kashish ne mujh ko
utnaa mai.n yaar hu.aa jitnaa vo begaana hu.aa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Afeef Siraj
Sher
Ashk Niyazi
Sher
jii jis ko chaahtaa thaa usii se milaa diyaa
dil kii kashish ne kii ye karaamaat raah me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
paas aa.e to kashish hai na jamaal-e-ra.ngii.n
duur se phuul nazar aa.e the KHush-ruu kitne