SEARCH RESULTS
Showing search results for "kath"
Sher MATCHES FOR "kath"
Sher
khultaa hai har ik shaKHs ke qaamat ke baraabar
ye dil hai ko.ii kaaTh kaa darvaaza nahii.n hai
Shahnawaz Farooqi
Sher
khel rachaa kar shahr ujaa.De.n kaTh-putlii ke saath
lashkar ke saalaar tamaashaa-gar bhii hote hai.n
Kamran Nafees
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
kah rahaa hai shor-e-dariyaa se samundar kaa sukuut
jis kaa jitnaa zarf hai utnaa hii vo KHaamosh hai
Natiq Lakhnavi
Sher
vo aa rahe hai.n vo aate hai.n aa rahe ho.nge
shab-e-firaaq ye kah kar guzaar dii ham ne
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kaise kah duu.n ki mulaaqaat nahii.n hotii hai
roz milte hai.n magar baat nahii.n hotii hai
Shakeel Badayuni
Sher
shaaKHo.n se TuuT jaa.e.n vo patte nahii.n hai.n ham
aa.ndhii se ko.ii kah de ki auqaat me.n rahe
Rahat Indori
Sher
ham labo.n se kah na paa.e un se haal-e-dil kabhii
aur vo samjhe nahii.n ye KHaamushii kyaa chiiz hai
Nida Fazli
Sher
kaise kah duu.n ki mujhe chho.D diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
Allama Iqbal
Sher
vo chaa.nd kah ke gayaa thaa ki aaj niklegaa
to intizaar me.n baiThaa hu.aa huu.n shaam se mai.n
Farhat Ehsas
Sher
in hasrato.n se kah do kahii.n aur jaa base.n
itnii jagah kahaa.n hai dil-e-daaG-daar me.n