SEARCH RESULTS
Showing search results for "katii"
Sher MATCHES FOR "katii"
Sher
'umr saarii to kaTii 'ishq-e-butaa.n me.n 'momin'
aaKHirii vaqt me.n kyaa KHaak musalmaa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Sher
paal le ik rog naadaa.n zindagii ke vaaste
sirf sehhat ke sahaare umr to kaTtii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
zindagii jabr-e-musalsal kii tarah kaaTii hai
jaane kis jurm kii paa.ii hai sazaa yaad nahii.n
Saghar Siddiqui
Sher
kaTtii hai aarzuu ke sahaare pe zindagii
kaise kahuu.n kisii kii tamannaa na chaahiye
Shaad Aarfi
Sher
kaTii hai jis ke KHayaalo.n me.n umr apnii 'muniir'
mazaa to jab hai ki us shoKH ko pataa hii na ho
Muneer Niyazi
Sher
yaado.n kii shaal o.Dh ke aavaara-gardiyaa.n
kaaTii hai.n ham ne yuu.n bhii december kii sardiyaa.n
Unknown
Sher
Hammad Niyazi
Sher
isii KHayaal me.n har shaam-e-intizaar kaTii
vo aa rahe hai.n vo aa.e vo aa.e jaate hai.n
Nazar Hyderabadi
Sher
hu.e is qadar mohazzab kabhii ghar kaa mu.nh na dekhaa
kaTii umr hoTalo.n me.n mare aspataal jaa kar
Akbar Allahabadi
Sher
mai.n ne jo kachkachaa kar kal un kii raan kaaTii
to un ne kis maze se merii zabaan kaaTii
Insha Allah Khan Insha
Sher
kaTii hai umr kisii aabdoz kashtii me.n
safar tamaam hu.aa aur kuchh nahii.n dekhaa