SEARCH RESULTS
Showing search results for "key-pad"
Sher MATCHES FOR "key-pad"
Sher
mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar
us ne diivaaro.n ko apnii aur uu.nchaa kar diyaa
Adil Mansuri
Sher
vo mujh ko chho.D ke jis aadmii ke paas gayaa
baraabarii kaa bhii hotaa to sabr aa jaataa
Parveen Shakir
Sher
kaa.nch ke paar tire haath nazar aate hai.n
kaash KHushbuu kii tarah rang hinaa kaa hotaa
Gulzar
Sher
tire firaaq kii sadiyaa.n tire visaal ke pal
shumaar-e-umr me.n ye maah o saal se kuchh hai.n
Amjad Islam Amjad
Sher
'sadaa' ke paas hai duniyaa kaa tajraba vaa.iz
tumhaarii baat me.n bas falsafa kitaab kaa hai
Sada Ambalvi
Sher
jo bhiik maa.ngte hu.e bachche ke paas thaa
us kaasa-e-savaal ne sone nahii.n diyaa
Rehana Roohi
Sher
barsaat tham chukii hai magar har shajar ke paas
itnaa to hai ki aap kaa daaman bhigo sake
Ahsan Yusuf Zai
Sher
raushnii baa.nTtaa huu.n sarhado.n ke paar bhii mai.n
ham-vatan is liye Gaddaar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Sher
tujh se to dil ke paas mulaaqaat ho ga.ii
mai.n KHud ko Dhuu.nDne ke liye dar-ba-dar gayaa
Mustafa Zaidi
Sher
na ko.ii ranj kaa lamha kisii ke paas aa.e
KHudaa kare ki nayaa saal sab ko raas aa.e
Faryad Aazar
Sher
vo paas ho ke duur hai to duur ho ke paas
firaaq aur visaal hai.n ajiib ajiib se