SEARCH RESULTS
Showing search results for "khajista"
Sher MATCHES FOR "khajista"
Sher
raaz-e-hayaat puuchh le KHizr-e-KHajista gaam se
zinda har ek chiiz hai koshish-e-naa-tamaam se
Allama Iqbal
Sher
aaj lab-e-guhar-fishaa.n aap ne vaa nahii.n kiyaa
tazkira-e-KHajista-e-aab-o-havaa nahii.n kiyaa
Jaun Eliya
Sher
na mai.n KHasta-haal hotaa na ye ajnabii se lagte
ye hasii.n hasii.n farishte mujhe aadmii se lagte
Habeeb Hashmi
Sher
'Gaalib'-e-KHasta ke baGair kaun se kaam band hai.n
ro.iye zaar zaar kyaa kiijiye haa.e haa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Sher
diivaar kyaa girii mire KHasta makaan kii
logo.n ne mere sehn me.n raste banaa liye
Sibt Ali Saba
Sher
ye laash-e-be-kafan 'asad'-e-KHasta-jaa.n kii hai
haq maGfirat kare ajab aazaad mard thaa
Mirza Ghalib
Sher
hu.ii jin se tavaqqo KHastagii kii daad paane kii
vo ham se bhii ziyaada KHasta-e-teG-e-sitam nikle
Mirza Ghalib
Sher
Ram Riyaz
Sher
agar nazaara hai manzuur KHastaa-haalo.n kaa
to aa.o khol de.n juu.Daa tumhaare baalo.n kaa
Ashique Akbarabadi
Sher
Zeb Ghauri
Sher
diivaar KHasta-haal hai aur dar udaas hai
jab se ko.ii gayaa hai miraa ghar udaas hai
Nasir Basheer
Sher
diivaangii kii aisii milegii kahaa.n misaal
kaa.nTe KHaariidtaa huu.n gulaabo.n ke shahr me.n
Anwar Minai
Sher
jo akasr baar-var hone se pahle TuuT jaate the
vahii KHasta shikasta ahd-o-paimaa.n yaad aate hai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
ishq ke phande se bachiye ai 'haqiir'-e-KHasta-dil
is kaa hai aaGaaz shiirii.n aur hai anjaam talKH
Haqeer
Sher
be-vaj.h nahii.n husn kii tanviir me.n taabish
lau dete hai.n KHaakistar-e-ulfat ke sharaare
Asar Rampuri
Sher
Zaheer Dehlvi
Sher
kartaa hai ai 'asar' dil-e-KHuu.n-gashta kaa gila
aashiq vo kyaa ki KHasta-e-teG-e-jafaa na ho