SEARCH RESULTS
Showing search results for "khalish-e-hasrat-e-jaa.n"
Sher MATCHES FOR "khalish-e-hasrat-e-jaa.n"
Sher
dil ko niyaaz-e-hasrat-e-diidaar kar chuke
dekhaa to ham me.n taaqat-e-diidaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
garmii-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate hai.n
ham charaaGo.n kii tarah shaam se jal jaate hai.n
Qateel Shifai
Sher
aataa hai daaG-e-hasrat-e-dil kaa shumaar yaad
mujh se mire gunah kaa hisaab ai KHudaa na maa.ng
Mirza Ghalib
Sher
Sohail Azeemabadi
Sher
ashk-e-Gam uqda-kushaa-e-KHalish-e-jaa.n niklaa
jis ko dushvaar mai.n samjhaa thaa vo aasaa.n niklaa
Hadi Machlishahri
Sher
ai yaad-e-yaar dekh ki baa-vasf-e-ranj-e-hijr
masruur hai.n tirii KHalish-e-naa-tavaa.n se ham
Hasrat Mohani
Sher
bhuulii nahii.n dil ko tirii duzdiida-nigaahii
pahluu me.n hai kuchh kuchh KHalish-e-tiir abhii tak
Hasrat Mohani
Sher
kahaa.n ham kahaa.n vasl-e-jaanaa.n kii 'hasrat'
bahut hai unhe.n ik nazar dekh lenaa
Hasrat Mohani
Sher
Hasrat Mohani
Sher
Hasrat Mohani
Sher
Hasrat Mohani
Sher
Hasrat Mohani
Sher
sher mere bhii hai.n pur-dard va-lekin 'hasrat'
'miir' kaa sheva-e-guftaar kahaa.n se laa.uu.n
Hasrat Mohani
Sher
guzre bahut ustaad magar ra.ng-e-asar me.n
be-misl hai 'hasrat' suKHan-e-'miir' abhii tak
Hasrat Mohani
Sher
daava-e-aashiqii hai to 'hasrat' karo nibaah
ye kyaa ke ibtidaa hii me.n ghabraa ke rah ga.e
Hasrat Mohani
Sher
'hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqii buland
tujh ko to muft logo.n ne mash.huur kar diyaa