SEARCH RESULTS
Showing search results for "khatpat"
Sher MATCHES FOR "khatpat"
Sher
rahtaa hai ibaadat me.n hame.n maut kaa khaTkaa
ham yaad-e-KHudaa karte hai.n, kar le na KHudaa yaad
Akbar Allahabadi
Sher
ek aa.nsuu bhii hukuumat ke liye KHatra hai
tum ne dekhaa nahii.n aa.ankho.n kaa samundar honaa
Munawwar Rana
Sher
dil me.n na ho jur.at to mohabbat nahii.n miltii
KHairaat me.n itnii ba.Dii daulat nahii.n miltii
Nida Fazli
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
aadmii jaan ke khaataa hai mohabbat me.n fareb
KHud-farebii hii mohabbat kaa sila ho jaise
Iqbal Azeem
Sher
tum ko chaahaa to KHataa kyaa hai bataa do mujh ko
duusraa ko.ii to apnaa saa dikhaa do mujh ko
Dagh Dehlvi
Sher
be-KHudii me.n le liyaa bosa KHataa kiije mu.aaf
ye dil-e-betaab kii saarii KHataa thii mai.n na thaa
Meerza Abul Muzaffar Zafar
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
Azm Bahzad
Sher
Allama Iqbal
Sher
kii hai ko.ii hasiin KHataa har KHataa ke saath
tho.Daa saa pyaar bhii mujhe de do sazaa ke saath
Kaifi Azmi
Sher
bas ik KHataa kii musalsal sazaa abhii tak hai
mire KHilaaf miraa aa.iina abhii tak hai
Rais Siddiqui
Sher
hai aadmii bajaa.e KHud ik mahshar-e-KHayaal
ham anjuman samajhte hai.n KHalvat hii kyuu.n na ho
Mirza Ghalib
Sher
Nomaan Shauque
Sher
har tamannaa dil se ruKHsat ho ga.ii
ab to aa jaa ab to KHalvat ho ga.ii