SEARCH RESULTS
Showing search results for "khauf-e-khudaa"
Sher MATCHES FOR "khauf-e-khudaa"
Sher
kuchh KHauf-e-KHudaa kiijiye is tarah na chaliye
sau baar to is chaal pe talvaar chalii hai
Nawab Begam Hijab
Sher
KHudaa se Darte to KHauf-e-KHudaa na karte ham
ki yaad-e-but se haram me.n bukaa na karte ham
Qalaq Merathi
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Khalil Ur Rahman Azmi
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
zaahid sambhal Guruur KHudaa ko nahii.n pasand
farsh-e-zamii.n pe paa.nv dimaaG aasmaan par
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
kyuu.n ujaa.Daa zaahido but-KHaana-e-aabaad ko
masjide.n kaafii na hotii.n kyaa KHudaa kii yaad ko
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
be-KHud aisaa kiyaa KHauf-e-shab-e-tanhaa.ii ne
subah se sham.a jalaa dii tire saudaa.ii ne
Manzar Lakhnavi
Sher
jii KHush hu.aa hai girte makaano.n ko dekh kar
ye shahr KHauf-e-KHud se jigar-chaak to hu.aa
Muneer Niyazi
Sher
ishq KHud apnii jagah maz.har-e-anvaar-e-KHudaa
aql is soch me.n gum kis ko KHudaa kahte hai.n
Ravish Siddiqi
Sher
Abrar Kiratpuri
Sher
'qamar' zaraa bhii nahii.n tum ko KHauf-e-rusvaa.ii
chale ho chaa.ndnii shab me.n unhe.n bulaane ko
Qamar Jalalvi
Sher
zabaa.n pe shikva-e-be-mehrii-e-KHudaa kyuu.n hai?
du.aa to maa.ngiye 'aatish' kabhii du.aa kii tarah
Aatish Bahawalpuri
Sher
kabhii sayyaad kaa khaTkaa hai kabhii KHauf-e-KHizaa.n
bulbul ab jaan hathelii pe liye baiThii hai
Mah Laqa Chanda
Sher
ik KHauf-e-be-panaah hai aa.nkho.n ke aar-paar
taariikiyo.n me.n Duubtaa lamha hai saamne
Sultan Akhtar
Sher
na KHauf-e-barq na KHauf-e-sharar lage hai mujhe
KHud apne baaG ke phuulo.n se Dar lage hai mujhe