SEARCH RESULTS
Showing search results for "khayaalaat"
Sher MATCHES FOR "khayaalaat"
Sher
aasmaa.n apne iraado.n me.n magan hai lekin
aadmii apne KHayaalaat liye phirtaa hai
Anwar Masood
Sher
saarii duniyaa ke KHayaalaat the dil me.n lekin
jab se hai yaad tirii kuchh bhii nahii.n yaad mujhe
Jaleel Manikpuri
Sher
sach to ye ki abhii dil ko sukuu.n hai lekin
apne aavaara KHayaalaat se jii Dartaa hai
Hasan Naim
Sher
be-vaj.h na badle the musavvir ne iraade
mai.n us ke KHayaalaat me.n pahle bhii kahii.n thaa
Tariq Naeem
Sher
mai.n tire shahr se guzraa huu.n baguule kii tarah
apnii duniyaa me.n magan apne KHayaalaat me.n gum
Sher
kholaa hai mujh pe sirr-e-haqiiqat majaaz ne
ye puKHtagii sila hai KHayaalaat-e-KHaam kaa
Ismail Merathi
Sher
miraa tumhaaraa ta'alluq biga.D ke ban gayaa hai
mire tumhaare KHayaalaat kaa amii.n ko.ii hai
Abdurrahman Wasif
Sher
ham to shaa'ir hai.n hame.n vasl kii parvaah nahii.n
ham tujhe apne KHayaalaat me.n chhuu lete hai.n
Mohammad Yasir Mustafvi
Sher
Jaun Eliya
Sher
bhaa.np hii le.nge ishaara sar-e-mahfil jo kiyaa
taa.Dne vaale qayaamat kii nazar rakhte hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ham aap qayaamat se guzar kyuu.n nahii.n jaate
jiine kii shikaayat hai to mar kyuu.n nahii.n jaate
Mahboob Khizan
Sher
jaate hu.e kahte ho qayaamat ko mile.nge
kyaa KHuub qayaamat kaa hai goyaa ko.ii din aur
Mirza Ghalib
Sher
mere kamre me.n udaasii hai qayaamat kii magar
ek tasviir puraanii sii ha.nsaa kartii hai
Abbas Qamar
Sher
ek muddat se KHayaalo.n me.n basaa hai jo shaKHs
Gaur karte hai.n to us kaa ko.ii chehra bhii nahii.n