SEARCH RESULTS
Showing search results for "khilaafat"
Sher MATCHES FOR "khilaafat"
Sher
nikal ke KHuld se un ko milii KHilaafat-e-arz
nikaale jaane kii tohmat hamaare sar aa.ii
Unknown
Sher
ham amn chaahte hai.n magar zulm ke KHilaaf
gar ja.ng laazmii hai to phir ja.ng hii sahii
Sahir Ludhianvi
Sher
qubuul kaise karuu.n un kaa faisla ki ye log
mire KHilaaf hii meraa bayaan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
mai.n aap apnii maut kii tayyaariyo.n me.n huu.n
mere KHilaaf aap kii saazish fuzuul hai
Shahid Zaki
Sher
kuchh log to KHilaaf ho.n haasid ko.ii to ho
kyaa lutf siidhii saadii mohabbat me.n aa.egaa
Fazil Jafri
Sher
tanhaa vo aa.e.n jaa.e.n ye hai shaan ke KHilaaf
aanaa hayaa ke saath hai jaanaa adaa ke saath
Jaleel Manikpuri
Sher
Hasrat Mohani
Sher
bas ik KHataa kii musalsal sazaa abhii tak hai
mire KHilaaf miraa aa.iina abhii tak hai
Rais Siddiqui
Sher
KHilaaf-e-shar.a kabhii shaiKH thuuktaa bhii nahii.n
magar a.ndhere ujaale me.n chuuktaa bhii nahii.n
Akbar Allahabadi
Sher
ahbaab se rakhtaa huu.n kuchh ummiid-e-KHuraafaat
rahte hai.n KHafaa mujh se bahut log isii se
Firaq Gorakhpuri
Sher
saarii gavaahiyaa.n to mire haq me.n aa ga.ii.n
lekin miraa bayaan hii mere KHilaaf thaa
Nafas Ambalvi
Sher
mire KHilaaf sabhii saazishe.n rachii.n jis ne
vo ro rahaa hai mirii daastaa.n sunaataa hu.aa
Irshad Khan Sikandar
Sher
ye ehtijaaj ajab hai KHilaaf-e-teG-e-sitam
zamii.n me.n jazb nahii.n ho rahaa hai KHuu.n meraa
Qamar Abbas Qamar
Sher
tire KHilaaf kiyaa jab bhii ehtijaaj ai dost
miraa vajuud bhii shaamil nahii.n hu.aa mire saath
Fartash Syed
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
tabl-o-alam hii paas hai.n apne na mulk-o-maal
ham se KHilaaf ho ke karegaa zamaana kyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
aarzuu kii ye sazaa hai ki zamaana hai KHilaaf
un se milne kii KHudaa jaane sazaa kyaa hogii
Anjum Siddiqui
Sher
gumraah kab kiyaa hai kisii raah ne mujhe
chalne lagaa huu.n aap hii apne KHilaaf me.n