SEARCH RESULTS
Showing search results for "khile"
Sher MATCHES FOR "khile"
Sher
na gul khile hai.n na un se mile na mai pii hai
ajiib rang me.n ab ke bahaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
phuul khile hai.n likhaa hu.aa hai to.Do mat
aur machal kar jii kahtaa hai chho.Do mat
Ameeq Hanafi
Sher
agar sharar hai to bha.Dke jo phuul hai to khile
tarah tarah kii talab tere ra.ng-e-lab se hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
vahaa.n salaam ko aatii hai na.nge paa.nv bahaar
khile the phuul jahaa.n tere muskuraane se
Ahmad Mushtaq
Sher
na mire zaKHm khile hai.n na tiraa ra.ng-e-hinaa
mausam aa.e hii nahii.n ab ke gulaabo.n vaale
Ahmad Faraz
Sher
phuul to do din bahaar-e-jaa.n-fazaa dikhlaa ga.e
hasrat un Guncho.n pe hai jo bin khile murjhaa ga.e
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Saghar Siddiqui
Sher
garmii-e-shauq-e-nazaara kaa asar to dekho
gul khile jaate hai.n vo saaya-e-tar to dekho
Faiz Ahmad Faiz
Sher
KHushii ke phuul khile the tumhaare saath kabhii
phir is ke baa'd na aayaa bahaar kaa mausam
Salam Sandelvi
Sher
kaa.nTo.n pe chale hai.n to kahii.n phuul khile hai.n
phuulo.n se mile hai.n to ba.Dii choT lagii hai
Javed Vashisht
Sher
Arif Jalali
Sher
ajab tarah kaa hai mausam ki KHaak u.Dtii hai
vo din bhii the ki khile the gulaab aa.nkho.n me.n
Iftikhar Arif
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
hame.n bhii dekh ki ham aarzuu ke sahraa me.n
khile hu.e hai.n kisii zaKHm-e-aarzuu kii tarah
Mohammad Deen Taseer
Sher
ye kis ko yaad kiyaa ruuh kii zaruurat ne
ye kis ke naam se mere lahuu me.n phuul khile
Arshad Abdul Hamid
Sher
khil uThe gul yaa khile dast-e-hinaa.ii tere
har taraf tuu hai to phir teraa pataa kis se kare.n