SEARCH RESULTS
Showing search results for "khisht"
Sher MATCHES FOR "khisht"
Sher
Mirza Ghalib
Sher
mere hii sa.ng-o-KHisht se ta.amiir-e-baam-o-dar
mere hii ghar ko shahr me.n shaamil kahaa na jaa.e
Majrooh Sultanpuri
Sher
muusaa ne koh-e-tuur pe dekhaa jo kuchh vahii
aataa hai aarifo.n ko nazar sa.ng-o-KHisht me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vahshat to sa.ng-o-KHisht kii tartiib le ga.ii
ab fikr ye hai dasht kii vus.at bhii le na jaa.e
Sheen Kaaf Nizam
Sher
saahibaan-e-qasr ko miltii nahii.n hai ba.ad-e-marg
gor me.n sar ke tale takiya kii jaagaa ek KHisht
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
ne ka.aba kii havas na havaa-e-kunisht hai
dekhaa to dono.n jaa.e vahii sa.ng-o-KHisht hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
vo to KHush-buu hai havaa.o.n me.n bikhar jaa.egaa
mas.ala phuul kaa hai phuul kidhar jaa.egaa
Parveen Shakir
Sher
mai.n to Gazal sunaa ke akelaa kha.Daa rahaa
sab apne apne chaahne vaalo.n me.n kho ga.e
Krishn Bihari Noor
Sher
Gam aur KHushii me.n farq na mahsuus ho jahaa.n
mai.n dil ko us maqaam pe laataa chalaa gayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
dil de to is mizaaj kaa parvardigaar de
jo ranj kii gha.Dii bhii KHushii se guzaar de
Dagh Dehlvi
Sher
Parveen Shakir
Sher
ab to KHushii kaa Gam hai na Gam kii KHushii mujhe
be-his banaa chukii hai bahut zindagii mujhe
Shakeel Badayuni
Sher
shab-e-visaal hai gul kar do in charaaGo.n ko
KHushii kii bazm me.n kyaa kaam jalne vaalo.n kaa
Dagh Dehlvi
Sher
ab tak dil-e-KHush-fahm ko tujh se hai.n umiide.n
ye aaKHirii sham.e.n bhii bujhaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
jis khet se dahqaa.n ko mayassar nahii.n rozii
us khet ke har KHosha-e-gandum ko jalaa do