SEARCH RESULTS
Showing search results for "khopa.dii"
Sher MATCHES FOR "khopa.dii"
Sher
aurat huu.n magar suurat-e-kohsaar kha.Dii huu.n
ik sach ke tahaffuz ke liye sab se la.Dii huu.n
Farhat Zahid
Sher
alfaaz na aavaaz na hamraaz na dam-saaz
ye kaise doraahe pe mai.n KHaamosh kha.Dii huu.n
Farhat Zahid
Sher
rotii hu.ii ek bhii.D mire gird kha.Dii thii
shaayad ye tamaasha mire ha.nsne ke liye thaa
Muzaffar Hanfi
Sher
begam bhii hai.n kha.Dii hu.ii maidaan-e-hashr me.n
mujh se mire gunah kaa hisaab ai KHudaa na maa.ng
Hashim Azimabadi
Sher
jis taraf jaa.e.n jahaa.n jaa.e.n bharii duniyaa me.n
raasta roke tirii yaad kha.Dii hotii hai
Ahmad Rahi
Sher
tauba kha.Dii hai dar pe jo fariyaad ke liye
ye mai-kada bhii kyaa kisii qaazii kaa ghar hu.aa
Ahmad Husain Mail
Sher
dekhtaa mai.n use kyuu.nkar ki naqaab uThte hii
ban ke diivaar kha.Dii ho ga.ii hairat merii
Jaleel Manikpuri
Sher
raasta roke hu.e kab se kha.Dii hai duniyaa
na idhar hotii hai zaalim na udhar hotii hai
Nazeer Banarasi
Sher
dahliiz par sar khole kha.Dii hogii zaruurat
ab aise me.n ghar jaanaa munaasib nahii.n hogaa
Munawwar Rana
Sher
aavaaz kii diivaar bhii chup-chaap kha.Dii thii
khi.Dkii se jo dekhaa to galii uu.ngh rahii thii
Adil Mansuri
Sher
zindagii bhar mai.n khulii chhat pe kha.Dii bhiigaa kii
sirf ik lamha barastaa rahaa saavan ban ke
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
har dam dam-e-aaKHir hai ajal sar pe kha.Dii hai
dam-bhar bhii ham is dam kaa bharosa nahii.n karte
Mardan Ali Khan Rana
Sher
Rasheed lakhnavi
Sher
paa.nv se lag ke kha.Dii hai ye Gariib-ul-vatanii
us ko samjhaa.o ki ham apne vatan aa.e hai.n