SEARCH RESULTS
Showing search results for "khudaayaa"
Sher MATCHES FOR "khudaayaa"
Sher
sab kii tarah tuu ne bhii mire aib nikaale
tuu ne bhii KHudaayaa mirii niyyat nahii.n dekhii
Shahzad Ahmad
Sher
phir aur taGaaful kaa sabab kyaa hai KHudaayaa
mai.n yaad na aa.uu.n unhe.n mumkin hii nahii.n hai
Hasrat Mohani
Sher
na aa.e maut KHudaayaa tabaah-haalii me.n
ye naam hogaa Gam-e-rozgaar sah na sakaa
Moin Ahsan Jazbi
Sher
zabaa.n pe baar-e-KHudaayaa ye kis kaa naam aayaa
ki mere nutq ne bose mirii zabaa.n ke liye
Mirza Ghalib
Sher
Ahmad Kamal Parwazi
Sher
na mohabbat hai dilo.n me.n na hayaa aa.nkho.n me.n
ye sanam tuu ne banaa.e hai.n KHudaayaa kaise
Imdad Ali Bahr
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ye zindagii hai apnii kabhii KHush kabhii udaas
is kashmakash se mujh ko KHudaayaa rihaa.ii de
Zebunnisaa Zaibii
Sher
ye zulf-e-yaar bhii kyaa bijliyo.n kaa jhurmuT hai
KHudaayaa KHair ho ab mere aashiyaane kii
Razi Raziuddin
Sher
Hamdam Kashmiri
Sher
Raja Mehdi Ali Khan
Sher
basiit-e-dasht kii hurmat ko baam-o-dar de de
mire KHudaayaa mujhe bhii to ek ghar de de
Ashraf Javed
Sher
Asad Jafri
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
KHudaa kii itnii ba.Dii kaa.enaat me.n mai.n ne
bas ek shaKHs ko maa.ngaa mujhe vahii na milaa
Bashir Badr
Sher
vo aa.e ghar me.n hamaare KHudaa kii qudrat hai
kabhii ham un ko kabhii apne ghar ko dekhte hai.n