SEARCH RESULTS
Showing search results for "khule"
Sher MATCHES FOR "khule"
Sher
ye u.Dii u.Dii sii ra.ngat ye khule khule se gesuu
tirii sub.h kah rahii hai tirii raat kaa fasaana
Ehsan Danish
Sher
ye khule khule se gesuu inhe.n laakh tuu sa.nvaare
mire haath se sa.nvarte to kuchh aur baat hotii
Kaifi Wijdani
Sher
zaraa qariib se dekhuu.n to ko.ii raaz khule
yahaa.n to har ko.ii lagtaa hai aadmii jaisaa
Javed Naseemi
Sher
anaa anaa ke muqaabil hai raah kaise khule
ta.alluqaat me.n haa.il hai baat kii diivaar
Haneef Kaifi
Sher
chamak rahaa hai KHema-e-raushan duur sitaare saa
dil kii kashtii tair rahii hai khule samundar me.n
Zeb Ghauri
Sher
shukr hai baa.ndh liyaa apne khule baalo.n ko
us ne shiiraaza-e-aalam ko bikharne na diyaa
Jaleel Manikpuri
Sher
tum ne chhe.Daa to kuchh khule ham bhii
baat par baat yaad aatii hai
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
mire badan me.n khule ja.ngalo.n kii miTTii hai
mujhe sambhaal ke rakhnaa bikhar na jaa.uu.n me.n
Nida Fazli
Sher
'zafar' hai behtarii is me.n ki mai.n KHamosh rahuu.n
khule zabaan to izzat kisii kii kyaa rah jaa.e
Sabir Zafar
Sher
na jaane us ne khule aasmaa.n me.n kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas me.n lauT aayaa
Arshad Jamal Sarim
Sher
ilaahii kyaa khule diidaar kii raah
udhar darvaaze band aa.nkhe.n idhar band
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
sabhii darvaaze khule hai.n mirii tanhaa.ii ke
saarii duniyaa ko mayassar hai rifaaqat merii
Anjum Saleemi
Sher
shiishe khule nahii.n abhii saaGar chale nahii.n
u.Dne lagii parii kii tarah buu sharaab kii
Aziz Hyderabadi
Sher
aage ba.Dhe na qissa-e-ishq-e-butaa.n se ham
sab kuchh kahaa magar na khule raaz-daa.n se ham