SEARCH RESULTS
Showing search results for "khush-aamad"
Sher MATCHES FOR "khush-aamad"
Sher
badan ke shahar me.n aabaad ik darinda hai
agarche dekhne me.n kitnaa KHush-libaas bhii hai
Akhtar Amaan
Sher
jaise baarish se dhule sehn-e-gulistaa.n 'amjad'
aa.nkh jab KHushk hu.ii aur bhii chehraa chamkaa
Amjad Islam Amjad
Sher
KHush-numaa lafzo.n kii rishvat de ke raazii kiijiye
ruuh kii tauhiin par aamaada rahtaa hai badan
Saleem Ahmed
Sher
KHush raho yaar agar ham se ho bezaar bahut
dil agar apnaa salaamat hai to dildaar bahut
Imdad Ali Bahr
Sher
jis ko tum kahte ho KHush-baKHt sadaa hai mazluum
jiinaa har daur me.n aurat kaa KHataa hai logo
Raziya Faseeh Ahmad
Sher
vo KHush-nasiib the jinhe.n apnii KHabar na thii
yaa.n jab bhii aa.nkh kholiye aKHbaar dekhiye
Shahzad Ahmad
Sher
mai.n bahut KHush thaa ka.Dii dhuup ke sannaaTe me.n
kyuu.n tirii yaad kaa baadal mire sar par aayaa
Ahmad Mushtaq
Sher
mai.n aaj zad pe agar huu.n to KHush-gumaan na ho
charaaG sab ke bujhe.nge havaa kisii kii nahii.n
Ahmad Faraz
Sher
KHush-qado.n se kabhii aalam na rahegaa KHaalii
is chaman se jo gayaa sarv to shamshaad aayaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
ai KHushaa 'ahd-e-'adam fikr se aazaad the ham
ek din bhii na yahaa.n qaid-e-mihan se nikle
Mohammad Baqar Shams
Sher
kis ko biknaa thaa magar KHush hai.n ki is hiile se
ho ga.ii.n apne KHariidaar se baate.n kyaa kyaa
Ahmad Faraz
Sher
KHushk KHushk sii palke.n aur suukh jaatii hai.n
mai.n tirii judaa.ii me.n is tarah bhii rotaa huu.n
Ahmad Rahi
Sher
ab Gam kaa ko.ii Gam na KHushii kii KHushii mujhe
aaKHir ko raas aa hii ga.ii zindagii mujhe