SEARCH RESULTS
Showing search results for "khusuumat"
Sher MATCHES FOR "khusuumat"
Sher
vo afsaana jise anjaam tak laanaa na ho mumkin
use ik KHuub-suurat mo.D de kar chho.Dnaa achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
kabhii to aasmaa.n se chaa.nd utre jaam ho jaa.e
tumhaare naam kii ik KHuub-suurat shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
bahut dino.n se mire saath thii magar kal shaam
mujhe pataa chalaa vo kitnii KHuubsuurat hai
Bashir Badr
Sher
jis se puuchhe.n tire baare me.n yahii kahtaa hai
KHuubsuurat hai vafaadaar nahii.n ho saktaa
Abbas Tabish
Sher
ye samajh ke maanaa hai sach tumhaarii baato.n ko
itne KHuub-suurat lab jhuuT kaise bole.nge
Shahzad Ahmad
Sher
ye intizaar nahii.n sham.a hai rifaaqat kii
is intizaar se tanhaa.ii KHuub-suurat hai
Arshad Abdul Hamid
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
'faraaz' ishq kii duniyaa to KHuub-suurat thii
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
mirii nazar me.n vahii mohnii sii muurat hai
ye raat hijr kii hai phir bhii KHuub-suurat hai
Khalilur Rahman Azmi
Sher
dil me.n jo mohabbat kii raushnii nahii.n hotii
itnii KHuubsuurat ye zindagii nahii.n hotii
Hastimal Hasti
Sher
ishq kyaa hai KHuubsuurat sii ko.ii afvaah bas
vo bhii mere aur tumhaare darmiyaa.n u.Dtii hu.ii