SEARCH RESULTS
Showing search results for "kisaan"
Sher MATCHES FOR "kisaan"
Sher
halaal rizq kaa matlab kisaan se puuchho
pasiina ban ke badan se lahuu nikaltaa hai
Aadil Rasheed
Sher
aayaa thaa sun ke shahr me.n daulat kii rel-pel
kal mill me.n kaT ke mar gayaa beTaa kisaan kaa
Saeed Ahmad Akhtar
Sher
us ko judaa hu.e bhii zamaana bahut hu.aa
ab kyaa kahe.n ye qissa puraanaa bahut hu.aa
Ahmad Faraz
Sher
na paak hogaa kabhii husn o ishq kaa jhag.Daa
vo qissa hai ye ki jis kaa ko.ii gavaah nahii.n
Haidar Ali Aatish
Sher
mai.n ne maa.ngii thii ujaale kii faqat ek kiran
tum se ye kis ne kahaa aag lagaa dii jaa.e
Zakia Ghazal
Sher
Bashir Badr
Sher
Munawwar Rana
Sher
milnaa aur bichha.D jaanaa kisii raste par
ik yahii qissa aadamiyo.n ke saath rahaa
Sarvat Husain
Sher
ye qissa vo nahii.n tum jis ko qissa-KHvaa.n se suno
mire fasaana-e-Gam ko mirii zabaa.n se suno
Bahadur Shah Zafar
Sher
sunaa rahaa huu.n unhe.n jhuuT-muuT ik qissa
ki ek shaKHs mohabbat me.n kaamyaab rahaa
Khalilur Rahman Azmi
Sher
meraa har sher haqiiqat kii hai zinda tasviir
apne ash.aar me.n qissa nahii.n likhkhaa mai.n ne
Anwar Jalalpuri
Sher
hafte me.n hai.n din saat magar saat dino.n me.n
sirf ek hii itvaar hai maaluum nahii.n kyuu.n
Kishan lal Khandaan Dehlvi
Sher
ek kiran bas raushniyo.n me.n shariik nahii.n hotii
dil ke bujhne se duniyaa taariik nahii.n hotii
Zeb Ghauri
Sher
vo jo qisse me.n thaa shaamil vahii kahtaa hai mujhe
mujh ko ma.aluum nahii.n yaar ye qissa kyaa hai