SEARCH RESULTS
Showing search results for "kitaab-e-ziist"
Sher MATCHES FOR "kitaab-e-ziist"
Sher
kitaab-e-ziist kaa unvaan ban ga.e ho tum
hamaare pyaar kii dekho ye intihaa saahab
Indira Varma
Sher
mohabbato.n ke hasii.n baab se zaraa aage
kitaab-e-ziist me.n miltaa hai gumrahii kaa varaq
Abdul Wahab Sukhan
Sher
tumhaare naam ke niiche khi.nchii hu.ii hai lakiir
kitaab-e-ziist hai saada is indiraaj ke ba.ad
Aanis Moin
Sher
jise pa.Dhaa nahii.n tum ne kabhii mohabbat se
kitaab-e-ziist kaa vo baab hai.n mire aa.nsuu
Lata Haya
Sher
varaq varaq hai.n yahaa.n haadsaat-e-roz-o-shab
kitaab-e-ziist mai.n mansuub ab karuu.n kis se
Farhan Hanif Warsi
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
jamaaliyaat kii shah-surKHiyaa.n bhii pa.Dh lenaa
kitaab-e-siina-e-doshiizgaa.n bhii pa.Dh lenaa
Zahoor Minhas
Sher
Mirza Daood Beg
Sher
Sohail Azeemabadi
Sher
bataa.e kaun kisii ko nishaan-e-manzil-e-ziist
abhii to hujjat-e-baaham hai rahguzar ke liye
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
husn-o-jamaal-o-ziist kii aaraa.ishe.n fuzuul
ishq-o-junuu.n kii aag jo dil me.n javaa.n na ho
Aleena Itrat
Sher
mai.n nahii.n jaa paa.uu.ngaa yaaro suu-e-gulzaar abhii
dekhnii hai aab-juu-e-ziist kii raftaar abhii
Habib Tanvir
Sher
Sahir Dehlavi
Sher
tamaam umr na.e lafz kii talaash rahii
kitaab-e-dard kaa mazmuu.n thaa paa.emaal aisaa
Shamim Hanafi
Sher
kitaab-e-zindagii kii ye muqaddas aayate.n hai.n
hiran chiital chikaare titliyaa.n jugnuu parinde
Zafar Khan Niyazi
Sher
kitaab-e-ishq likh rakkhii hai dil par
magar Dartaa huu.n phir bhii imtihaa.n se