SEARCH RESULTS
Showing search results for "kitno.n"
Sher MATCHES FOR "kitno.n"
Sher
nafrato.n kaa aks bhii pa.Dne na denaa zehan par
ye a.ndheraa jaane kitno.n kaa ujaalaa khaa gayaa
Tufail Chaturvedi
Sher
mahakte phuul sitaare damaktaa chaa.nd dhanak
tire jamaal se kitno.n ne istifaada kyaa
Ahmad Khayal
Sher
TuuT kar kitno.n ko majruuh ye kar saktaa hai
sa.ng tuu ne abhii dekhaa nahii.n shiishe kaa jigar
Karamat Ali Karamat
Sher
karvaTo.n se bus kii bus me.n aur halchal ho ga.ii
daastaan-e-ishq kitno.n kii mukammal ho ga.ii
Saghar Khayyami
Sher
Ahmad Faraz
Sher
dil me.n kisii ke raah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
kitnaa hasii.n gunaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasiino.n ko bhii kitnaa sahl hai bijlii giraa denaa
Akbar Allahabadi
Sher
kitnii dilkash ho tum kitnaa dil-juu huu.n mai.n
kyaa sitam hai ki ham log mar jaa.e.nge
Jaun Eliya
Sher
dhuup me.n niklo ghaTaa.o.n me.n nahaa kar dekho
zindagii kyaa hai kitaabo.n ko haTaa kar dekho
Nida Fazli
Sher
raat to vaqt kii paaband hai Dhal jaa.egii
dekhnaa ye hai charaaGo.n kaa safar kitnaa hai