SEARCH RESULTS
Showing search results for "kivaa.d"
Sher MATCHES FOR "kivaa.d"
Sher
mai.n sochtaa huu.n mujhe intizaar kis kaa hai
kivaa.D raat ko ghar kaa agar khulaa rah jaa.e
Sabir Zafar
Sher
thaa va.ada shaam kaa magar aa.e vo raat ko
mai.n bhii kivaa.D kholne fauran nahii.n gayaa
Anwar Shuoor
Sher
kivaa.D band karo tiira-baKHto so jaa.o
galii me.n yuu.n hii ujaalo.n kii aahaTe.n ho.ngii
Bekal Utsahi
Sher
ko.ii makii.n thaa na mehmaan aane vaalaa thaa
to phir kivaa.D khulaa kis ke intizaar me.n thaa
Manzoor Hashmi
Sher
jo mere paas thaa sab luuT le gayaa ko.ii
kivaa.D band rakhuu.n ab mujhe hai Dar kis kaa
Hakeem Manzoor
Sher
kivaa.D khulne se pahle hii din nikal aayaa
bashaarate.n abhii saamaan me.n pa.Dii hu.ii thii.n
Ziaul Mustafa Turk
Sher
zaKHm ke lagte hii kyaa khul ga.e chhaatii ke kivaa.D
aage ye KHaana-e-dilchasp havaa daar na thaa
Raza Azimabadi
Sher
tirii nigah se ga.e khul kivaa.D chhaatii ke
hisaar-e-qalb kii goyaa thii fat.h tere naam