SEARCH RESULTS
Showing search results for "kivaa.d"
Ghazal MATCHES FOR "kivaa.d"
Ghazal
cha.Dhte hii dhuup shahr ke khul jaa.e.nge kivaa.D
jismo.n kaa rahguzaar ravaanii me.n aa.egaa
Iqbal Sajid
Ghazal
Ibn۔e۔Insha
Ghazal
thaa va.ada shaam kaa magar aa.e vo raat ko
mai.n bhii kivaa.D kholne fauran nahii.n gayaa
Anwar Shuoor
Ghazal
bahut se log shaam tak kivaa.D khol kar rahe
faqiir-e-shahr kii magar sadaa hii aur ho ga.ii
Parveen Shakir
Ghazal
havaa kaa lams jo apne kivaa.D kholtaa hai
to der tak mire ghar kaa sukuut boltaa hai
Mohsin Naqvi
Ghazal
safar me.n hai jo azal se ye vo balaa hii na ho
kivaa.D khol ke dekho kahii.n havaa hii na ho
Muneer Niyazi
Ghazal
kuTiyaa me.n kaun aa.egaa is tiirgii ke saath
ab ye kivaa.D band karo KHaamushii ke saath
Kaif Bhopali
Ghazal
buraa ho teraa jo band rakhe the mai.n ne ghar ke
to khol aayaa baGair puuchhe kivaa.D aise
Amir Ameer
Ghazal
itnaa asar to rakhtii hai maa.n kii du'aa 'alii'
dekhe hai.n mai.n ne khulte kivaa.D aasmaan ke
Ali Raza Baloch
Ghazal
mai.n sochtaa huu.n mujhe intizaar kis kaa hai
kivaa.D raat ko ghar kaa agar khulaa rah jaa.e
Sabir Zafar
Ghazal
'alvii' kivaa.D khol ke dekhaa to kuchh na thaa
vo to qusuur thaa mire vahm-o-gumaan kaa
Mohammad Alvi
Ghazal
kisii kii raah me.n dahliiz par diye na rakho
kivaa.D suukhii hu.ii lak.Diyo.n ke hote hai.n
Bashir Badr
Ghazal
kivaa.D band karo tiira-baKHto so jaa.o
galii me.n yuu.n hii ujaalo.n kii aahaTe.n ho.ngii
Bekal Utsahi
Ghazal
kis kaa rasta dekh rahe hai.n ghar ke kivaa.D
suunaa suunaa aa.ngan kise bulaataa hai
Riaz Majeed
Ghazal
pukaartaa huu.n mai.n us ko usii kii chaukhaT se
kivaa.D jism ke jo mujh pe kholtaa hii nahii.n
Raees Ansari
Ghazal
is intizaar me.n zid kaa bhii ek pahluu hai
kivaa.D khol duu.n aur raasta takuu.n bhii nahii.n
Shakeel Azmi
Ghazal
kivaa.D khol ke puuchhaa to kuchh nahii.n bolii
kivaa.D band kiye to kahaa havaa huu.n mai.n