aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaya hai ek shaKHs ajab aan-ban ka

Mohammad Alvi

aaya hai ek shaKHs ajab aan-ban ka

Mohammad Alvi

MORE BYMohammad Alvi

    aayā hai ek shaḳhs ajab ān-bān

    naqsha badal gayā hai purāne makān

    taare se TūTte haiñ abhī tak idhar-udhar

    baaqī hai kuchh nasha abhī kal uḌaan

    kālak jam rahī hai chamaktī zamīn par

    sūraj se jal uThā hai varaq āsmān

    dariyā meñ duur duur talak kashtiyāñ na thiiñ

    ḳhatra na thā havā ko kisī bādbān

    donoñ ke dil meñ ḳhauf thā maidān-e-jañg meñ

    donoñ ḳhauf fāsla thā darmiyān

    'alvī' kivāḌ khol ke dekhā to kuchh na thā

    vo to qusūr thā mire vahm-o-gumān

    aaya hai ek shaKHs ajab aan-ban ka

    naqsha badal gaya hai purane makan ka

    tare se TuTte hain abhi tak idhar-udhar

    baqi hai kuchh nasha abhi kal ki uDan ka

    kalak si jam rahi hai chamakti zamin par

    suraj se jal uTha hai waraq aasman ka

    dariya mein dur dur talak kashtiyan na thin

    KHatra na tha hawa ko kisi baadban ka

    donon ke dil mein KHauf tha maidan-e-jang mein

    donon ka KHauf fasla tha darmiyan ka

    'alwi' kiwaD khol ke dekha to kuchh na tha

    wo to qusur tha mere wahm-o-guman ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now