SEARCH RESULTS
Showing search results for "kohkan"
Sher MATCHES FOR "kohkan"
Sher
na kohkan hai na majnuu.n ki the mire hamdard
mai.n apnaa dard-e-mohabbat kahuu.n to kis se kahuu.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
zindagaanii kii haqiiqat kohkan ke dil se puuchh
juu-e-shiir o tesha o sa.ng-e-giraa.n hai zindagii
Allama Iqbal
Sher
kah do ye kohkan se ki marnaa nahii.n kamaal
mar mar ke hijr-e-yaar me.n jiinaa kamaal hai
Jaleel Manikpuri
Sher
lab-e-shiirii.n se agar ho na teraa lab shiirii.n
kohkan tuu bhii to ab daaman-e-kohsaar na chho.D
Qasim Ali Khan Afridi
Sher
Allama Iqbal
Sher
kyaa kohkan kii koh-kanii kyaa junuun-e-qais
vaadii-e-ishq me.n ye maqaam ibtidaa ke hai.n
Ismail Merathi
Sher
kaam aa.ii kohkan kii mashaqqat na ishq me.n
patthar se juu-e-shiir ke laane ne kyaa kiyaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
meraa salaam ishq alaihis-salaam ko
KHusrav udhar KHaraab idhar kohkan KHaraab
Ahmad Husain Mail
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
sar diije raah-e-ishq me.n par mu.nh na mo.Diye
patthar kii sii lakiir hai ye koh-kan kii baat
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
shiirii.n ke shefta hu.e parvez o kohkan
shaa.er huu.n mai.n ye kahtaa huu.n mazmuun la.D gayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
naakaamii-e-visaal kaa paiGaam hai mujhe
shiirii.n kaa zikr bhii na karo kohkan ke saath
Anwar Dehlvi
Sher
ye qais-o-kohkan ke se fasaane ban ga.e kitne
kisii ne Tuk.De kar ke sab hamaarii daastaa.n rakh dii
Riyaz Khairabadi
Sher
Afsar Allahabadi
Sher
kaTaa na koh-e-alam ham se kohkan kii tarah
badal sakaa na zamaana tire chalan kii tarah
Athar Nadir
Sher
tere aage le chukaa KHusrav lab-e-shiirii.n se kaam
tuu abas sar pho.Dtaa hai kohkan patthar se aaj