SEARCH RESULTS
Showing search results for "kurede"
Sher MATCHES FOR "kurede"
Sher
jalaa hai jism jahaa.n dil bhii jal gayaa hogaa
kuredte ho jo ab raakh justujuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
agarche phuul ye apne liye KHariide hai.n
ko.ii jo puuchhe to kah duu.ngaa us ne bheje hai.n
Iftikhar Naseem
Sher
dar-o-diivaar pe shakle.n sii banaane aa.ii
phir ye baarish mirii tanhaa.ii churaane aa.ii
Kaif Bhopali
Sher
kuredtaa hai bahut raakh mere maazii kii
mai.n chuuk jaa.uu.n to vo u.ngliyaa.n jalaa legaa
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
fareb-KHurda hai itnaa ki mere dil ko abhii
tum aa chuke ho magar intizaar baaqii hai
Akhtar Muslimi
Sher
Saleem Ahmed
Sher
rishii ke faaqo.n se TuuTaa na barhaman kaa tilism
asaa na ho to kaliimii hai kaar-e-be-buniyaad
Allama Iqbal
Sher
ye KHud-e-farebi-e-ehsaas-e-aarzuu to nahii.n
tirii talaash kahii.n apnii justujuu to nahii.n
Ummeed Fazli
Sher
nii.nd kaa us ko nasha ham ko jagaane kii havas
KHvaab me.n aate hu.e nii.nd churaate hu.e ham
Zia Zameer
Sher
hai dil me.n karuu.n zikr-e-KHudaa but ko biThaa kar
sajda ho kisii kaa to ibaadat ho kisii kii
Azam Kurevi
Sher
qaa.ede baazaar ke is baar ulTe ho ga.e
aap to aa.e nahii.n par phuul mah.nge ho ga.e
Nomaan Shauque
Sher
be-KHud-e-shauq huu.n aataa hai KHudaa yaad mujhe
raasta bhuul ke baiThaa huu.n sanam-KHaane kaa