SEARCH RESULTS
Showing search results for "kushaada"
Sher MATCHES FOR "kushaada"
Sher
kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare
niyaaz-mand na kyuu.n aajizii pe naaz kare
Allama Iqbal
Sher
mat baiTh aashiyaa.n me.n paro.n ko sameT kar
kar hausla kushaada fazaa me.n u.Daan kaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
usii kii chashm-e-kushaada me.n rang bante hai.n
usii pe KHatm hai qaamat bhii mah-jabiinii bhii
Aziz Nabeel
Sher
mai.n chaahtaa huu.n mujhe mash.alo.n ke saath jalaa
kushaada-tar hai agar KHema-e-havaa tujh pe
Afzal Ahmad Syed
Sher
miraa hii siina kushaada hai chaahato.n ke ta.ii.n
tufa.ng-e-dard miraa hii nishaanaa chaahtii hai
Arshad Abdul Hamid
Sher
'Gamgii.n' jo ek aan pe tere adaa hu.aa
kyaa KHush adaa use tirii ai KHush-adaa lagii
Ghamgeen Dehlvi
Sher
vo de rahaa thaa talab se sivaa sabhii ko 'KHayaal'
so mai.n ne daaman-e-dil aur kuchh kushaada kiyaa
Ahmad Khayal
Sher
bikhar ke chhuuT na jaa.uu.n tirii giraft se mai.n
sambhaal kar mujhe ai mauj-e-KHush-adaa le jaa
Alimullah Hali
Sher
ai 'fazaa' itnii kushaada kab thii ma.anii kii jihat
mere lafzo.n se ufuq ik duusraa raushan hu.aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Mohammad Deen Taseer
Sher
go hai anaa-parast magar dost bhii to hai
dil ko ye soch kar hii kushaada hai kar liyaa
Hina Ambareen Tariq
Sher
hujuum-e-ranj-o-Gam-o-dard hai maruu.n kyuu.nkar
qadam uThaa.uu.n jo aage kushaada raah mile
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Sher
shahr chhoTaa hai magar dil hai kushaada itnaa
ham ba.De shahr me.n hote to samundar hote
Mohammad Mazhar Niyazi
Sher
yuu.n muskuraa.e jaan sii kaliyo.n me.n pa.D ga.ii
yuu.n lab-kushaa hu.e ki gulistaa.n banaa diyaa
Asghar Gondvi
Sher
jo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii hai
sach to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raazii hai
Nazeer Akbarabadi
Sher
dil kabhii laakh KHushaamad pe bhii raazii na hu.aa
kabhii ik jhuuTe hii va.ade pe bahalte dekhaa