SEARCH RESULTS
Showing search results for "kuu-e-yaar"
Sher MATCHES FOR "kuu-e-yaar"
Sher
kis shaan se ga.e hai.n shahiidaan-e-kuu-e-yaar
qaatil bhii haath uThaa ke shariik-e-du.aa hu.e
Hameed Jalandhari
Sher
paamaal ho ke bhii na uThaa kuu-e-yaar se
mai.n us galii me.n saaya-e-diivaar ho gayaa
Nooh Narvi
Sher
puuchhaa sabaa se us ne pataa kuu-e-yaar kaa
dekho zaraa shu.uur hamaare Gubaar kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
chhaanii hai KHaak ham ne bahut kuu-e-yaar kii
'jaa’far' is 'aashiqii se kisii ko amaa.n nahii.n
Dr. Jafar Askari
Sher
aadam se baaG-e-KHuld chhuTaa ham se kuu-e-yaar
vo ibtidaa-e-ra.nj hai ye intihaa-e-ra.nj
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
raah se dair-o-haram kii hai jo kuu-e-yaar me.n
hai vahii dii.n-daar gar kuffaar aataa hai nazar
Miskeen Shah
Sher
hai jab se dast-giir-e-junuu.n kuu-e-yaar me.n
phirtaa huu.n ek paa.nv se parkaar kii tarah
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
maqaam 'faiz' ko.ii raah me.n jachaa hii nahii.n
jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
galii ke baahar tamaam manzar badal ga.e the
jo saaya-e-kuu-e-yaar utraa to mai.n ne dekhaa
Muneer Niyazi
Sher
kitnaa hai bad-nasiib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
kuchh vaqt apne saath guzaaruu.ngaa mai.n 'zamiir'
KHud se agar milaa jo kabhii kuu-e-yaar me.n
Yaseen Zameer
Sher
mujh ko nahii.n qubuul do-aalam kii vus.ate.n
qismat me.n kuu-e-yaar kii do-gaz zamii.n rahe
Jigar Moradabadi
Sher
libaas-e-ka.aba kaa haasil kiyaa sharaf us ne
jo kuu-e-yaar me.n kaalii ko.ii ghaTaa aa.ii
Haidar Ali Aatish
Sher
Waliullah Muhib
Sher
Riyaz Khairabadi
Sher
karte hai.n shauq-e-diid me.n baate.n havaa se ham
jaate hai.n kuu-e-yaar me.n pahle sabaa se ham
Hatim Ali Mehr
Sher
paa-bos-e-yaar kii hame.n hasrat hai ai nasiim
aahista aa.iiyo tuu hamaare mazaar par