SEARCH RESULTS
Showing search results for "la.dte"
Sher MATCHES FOR "la.dte"
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
zamaana ho gayaa KHud se mujhe la.Dte-jhaga.Dte
mai.n apne aap se ab sulh karnaa chaahtaa huu.n
Iftikhar Arif
Sher
jo shaam hotii hai har roz haar jaataa huu.n
mai.n apne jism kii parchhaa.iyo.n se la.Dte hu.e
Ameer Imam
Sher
sar-ba-kaf hind ke jaa.n-baaz-e-vatan la.Dte hai.n
teG-e-nau le saf-e-dushman me.n ghuse pa.Dte hai.n
Barq Dehlvi
Sher
maujo.n se la.Dte vaqt to mai.n us ke saath thaa
saahil pe us ke haath me.n ku.i aur haath thaa
Moin Shadab
Sher
thake hu.e se badan ko liTaa ke bistar par
ham apne aap se la.Dte hai.n nii.nd aane tak
Salim Saleem
Sher
kis vaaste la.Dte hai.n baham shaiKH-o-barahman
ka.aba na kisii kaa hai na but-KHaana kisii kaa
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
tumhaarii yaad ke jab zaKHm bharne lagte hai.n
kisii bahaane tumhe.n yaad karne lagte hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
saahil ke sukuu.n se kise inkaar hai lekin
tuufaan se la.Dne me.n mazaa aur hii kuchh hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
la.Dne ko dil jo chaahe to aa.nkhe.n la.Daa.iye
ho ja.ng bhii agar to mazedaar ja.ng ho