SEARCH RESULTS
Showing search results for "laanaa"
Sher MATCHES FOR "laanaa"
Sher
vo afsaana jise anjaam tak laanaa na ho mumkin
use ik KHuub-suurat mo.D de kar chho.Dnaa achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
raushnii Dhuu.nD ke laanaa ko.ii mushkil to na thaa
lekin is dau.D me.n har shaKHs ko jalte dekhaa
Azm Bahzad
Sher
kaav kaav-e-saKHt-jaanii haa.e-tanhaa.ii na puuchh
sub.h karnaa shaam kaa laanaa hai juu-e-shiir kaa
Mirza Ghalib
Sher
us ko manzuur nahii.n hai mirii gumraahii bhii
aur mujhe raah pe laanaa bhii nahii.n chaahtaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
yaqii.n un ke va.ade pe laanaa pa.Degaa
ye dhokaa to daanista khaanaa pa.Degaa
Nisar yaar Jang Mizaj
Sher
tuu mujhe ta.ng na kar a dil-e-aavaara-mizaaj
tujh ko is shahr me.n laanaa hii nahii.n chaahiye thaa
Afzal Khan
Sher
yaziid-e-vaqt miraa KHuu.n bahaanaa chaahtaa hai
vo karbalaa me.n mujhe phir se laanaa chaahtaa hai
Imtiyaz Danish Nadwi
Sher
qahr hai zahr hai aGyaar ko laanaa shab-e-vasl
aise aane se to behtar hai na aanaa shab-e-vasl
Zaheer Dehlvi
Sher
chaa.nd taare to.D laanaa ye bhii ko.ii kaam hai
har qadam par saath mere umr-bhar chal ke dikhaa
Raghvendra Dwivedi
Sher
nayaa mazmuun laanaa kaaTnaa koh-o-jabal kaa hai
nahii.n ham sher kahte pesha-e-farhaad kahte hai.n
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
ham-nashii.n us ko jo laanaa hai to laa jald ki ham
thaame baiThe rahe.n kab tak dil-e-muztar apnaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
class-room me.n itnaa samay nahii.n hotaa
ye saaniha tumhe.n ghar se banaa ke laanaa thaa
Aqeel Abbas
Sher
ishtiyaaq-e-raqs me.n had se nikalte jaa rahe
daa.ere ko khii.nch kar auqaat me.n laanaa pa.Daa
Latif Shah Shahid
Sher
har baat dil kii lab pe nahii.n laanaa laazmii
kuchh guftuguu me.n bhii adab aadaab chaahiye
Zyesha Usmaan
Sher
baato.n kii qiimat jab ghaTne lagtii hai
tab ashko.n ko kaam me.n laanaa pa.Dtaa hai