SEARCH RESULTS
Showing search results for "laate"
Sher MATCHES FOR "laate"
Sher
Meer Hasan
Sher
sub.h le jaate hai.n ham apnaa janaaza ghar se
shaam ko phir use kaa.ndho.n pe uThaa laate hai.n
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
mai-KHaana-e-europe ke dastuur niraale hai.n
laate hai.n suruur avval dete hai.n sharaab aaKHir
Allama Iqbal
Sher
amiir-e-shahr ke taaqo.n me.n jalne vaale charaaG
ujaale kitne gharo.n ke sameT laate hai.n
Unknown
Sher
ham bhii in bachcho.n kii maanind ko.ii pal jii le.n
ek sikka jo hathelii pe sajaa laate hai.n
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
baal-o-par kii jumbihso.n ko kaam me.n laate raho
ai qafas vaalo qafas se chhuuTnaa mushkil sahii
Saba Akbarabadi
Sher
ye kab KHayaal me.n laate hai.n taaj-e-shaahii ko
dimaaG arsh pe hai tere kam-dimaaGo.n kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Mardan Ali Khan Rana
Sher
bastiyaa.n kaise na mamnuun ho.n diivaano.n kii
vus.ate.n in me.n vahii laate hai.n viiraano.n kii
Mukhtar Siddiqui
Sher
Masroor Shahjahanpuri
Sher
bahut pahle se un qadmo.n kii aahaT jaan lete hai.n
tujhe ai zindagii ham duur se pahchaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
tumhaarii yaad ke jab zaKHm bharne lagte hai.n
kisii bahaane tumhe.n yaad karne lagte hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish 'Gaalib'
ki lagaa.e na lage aur bujhaa.e na bane
Mirza Ghalib
Sher
dekhaa hai zindagii ko kuchh itne qariib se
chehre tamaam lagne lage hai.n ajiib se