SEARCH RESULTS
Showing search results for "lafzo"
Sher MATCHES FOR "lafzo"
Sher
hai lafz-o-ma.anii kaa rishta zavaal-aamaada
KHayaal paidaa hu.aa bhii na thaa ki mar bhii gayaa
Aqeel Shadab
Sher
navaah-e-lafz-o-ma.aanii me.n guu.nj hai kis kii
ko.ii bataa.e ye 'amjad' ki ham bataa.e.nge
Ghufran Amjad
Sher
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
Jigar Moradabadi
Sher
tujh se kis tarah mai.n iz.haar-e-tamannaa kartaa
lafz suujhaa to ma.aanii ne baGaavat kar dii
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
Wasi Shah
Sher
kaa.nTo.n se dil lagaa.o jo taa-umr saath de.n
phuulo.n kaa kyaa jo saa.ns kii garmii na sah sake.n
Akhtar Shirani
Sher
lafz o manzar me.n ma.aanii ko TaTolaa na karo
hosh vaale ho to har baat ko samjhaa na karo
Mahmood Ayaz
Sher
tahriir se varna mirii kyaa ho nahii.n saktaa
ik tuu hai jo lafzo.n me.n adaa ho nahii.n saktaa
Waseem Barelvi
Sher
Munawwar Rana
Sher
na jaane sher me.n kis dard kaa havaala thaa
ki jo bhii lafz thaa vo dil dukhaane vaalaa thaa
Saleem Ahmed
Sher
dil pe kuchh aur guzartii hai magar kyaa kiije
lafz kuchh aur hii iz.haar kiye jaate hai.n