SEARCH RESULTS
Showing search results for "lamha"
Sher MATCHES FOR "lamha"
Sher
na ko.ii ranj kaa lamha kisii ke paas aa.e
KHudaa kare ki nayaa saal sab ko raas aa.e
Faryad Aazar
Sher
mujhe bhii lamha-e-hijrat ne kar diyaa taqsiim
nigaah ghar kii taraf hai qadam safar kii taraf
Shehpar Rasool
Sher
umr bhar kii baat big.Dii ik zaraa sii baat me.n
ek lamha zindagii bhar kii kamaa.ii khaa gayaa
Nazeer Banarasi
Sher
Mushfiq Khwaja
Sher
dil ko har lamha bachaate rahe jazbaat se ham
itne majbuur rahe hai.n kabhii haalaat se ham
Jan Nisar Akhtar
Sher
ik KHauf-e-be-panaah hai aa.nkho.n ke aar-paar
taariikiyo.n me.n Duubtaa lamha hai saamne
Sultan Akhtar
Sher
lamha lamha roz sa.nvarne vaalaa tuu
lamha lamha lamha roz bikharne vaalaa mai.n
Javed Akram Farooqi
Sher
masiih-o-KHizr kii umre.n nisaar ho.n us par
vo ek lamha jo yaaro.n ke darmiyaa.n guzre
Majeed Amjad
Sher
vo lamha jab mire bachche ne maa.n pukaaraa mujhe
mai.n ek shaaKH se kitnaa ghanaa daraKHt hu.ii
Humaira Rahman
Sher
kisii bhii vaqt badal saktaa hai lamha ko.ii
is qadar KHush bhii na ho merii pareshaanii par
Jamal Ehsani
Sher
tark-e-ta.alluqaat ko ik lamha chaahiye
lekin tamaam umr mujhe sochnaa pa.Daa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
mu.aaf kar na sakii merii zindagii mujh ko
vo ek lamha ki mai.n tujh se ta.ng aayaa thaa
Jan Nisar Akhtar
Sher
ye sach hai rang badaltaa thaa vo har ik lamha
magar vahii to bahut kaamyaab chehraa thaa
Ambar Bahraichi
Sher
ye be-sabab nahii.n aa.e hai.n aa.nkh me.n aa.nsuu
KHushii kaa lamha ko.ii yaad aa gayaa hogaa