SEARCH RESULTS
Showing search results for "lapak"
Sher MATCHES FOR "lapak"
Sher
us Gairat-e-naahiid kii har taan hai diipak
sho.ala saa lapak jaa.e hai aavaaz to dekho
Momin Khan Momin
Sher
vahii.n bahaar-ba-kaf qaafile lapak ke chale
jahaa.n jahaa.n tire naqsh-e-qadam ubharte rahe
Aziz Tamannai
Sher
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTe.n
saliiqa-ma.nd shaaKHo.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai
Waseem Barelvi
Sher
ain-fitrat hai ki jis shaaKH pe phal aa.e.nge
inkisaarii se vahii shaaKH lachak jaa.egii
Divakar Rahi
Sher
KHairaat kaa mujhe ko.ii laalach nahii.n 'zafar'
mai.n is galii me.n sirf sadaa karne aayaa huu.n
Zafar Iqbal
Sher
allaah-re naazukii ye chamelii kaa ek phuul
sar par jo rakh diyaa to kamar tak lachak ga.ii
Unknown
Sher
tere jaane se zyaada hai.n na kam pahle the
ham ko laahaq hai.n vahii ab bhii jo Gam pahle the
Afzal Khan
Sher
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
mujhe KHud apnii nahii.n us kii fikr laahaq hai
bichha.Dne vaalaa bhii mujh saa hii be-sahaaraa thaa
Maqbool Aamir
Sher
laalach bharii mohabbat nazro.n se gir na jaa.e
bad-e'tiqaad dil kii jhuuTii namaaz ho kar
Arzoo Lakhnavi
Sher
Ameer Minai
Sher
zamaana aayaa kuchh aisaa ki ab to har ghar me.n
laTak rahii hai masarrat naziir kii tasviir
Kashfi Multani
Sher
tiraa qad sarv sii.n KHuubii me.n cha.Dh hai
laTak sumbul setii zulfaa.n sii.n ba.Dh hai
Abroo Shah Mubarak
Sher
paanii kii pesh-raft ne suukhaa bhagaa diyaa
baarish ke baa'd ghaas kii Tuk.Dii lahak uThii
Aqeel Abbas
Sher
piirii hu.ii shabaab se utraa jhaTak gayaa
shaa.er huu.n meraa misra-e-saanii laTak gayaa
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
in ThiThurtii u.ngliyo.n ko is lapaT par se.nk lo
dhuup ab ghar kii kisii diivaar par hogii nahii.n