SEARCH RESULTS
Showing search results for "latiife"
Sher MATCHES FOR "latiife"
Sher
is shahr me.n jiine ke andaaz niraale hai.n
ho.nTo.n pe latiife hai.n aavaaz me.n chhaale hai.n
Javed Akhtar
Sher
kaun suntaa hai bhikaarii kii sadaa.e.n is liye
kuchh zariifaana latiife yaad kar lete hai.n ham
Wamiq Jaunpuri
Sher
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaa.nd baGal me.n ho ik chaa.nd muqaabil ho
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Nooh Narvi
Sher
sirf alfaaz pe mauquuf nahii.n lutf-e-suKHan
aa.nkh KHaamosh agar hai to zabaa.n kuchh bhii nahii.n
Moghisuddin Fareedi
Sher
chho.Dnaa hai to na ilzaam lagaa kar chho.Do
kahii.n mil jaa.o to phir lutf-e-mulaaqaat rahe
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
gardish-e-ayyaam se chaltii hai nabz-e-kaa.enaat
vaqt kaa pahiya rukaa to zindagii ruk jaa.egii
Latif Shah Shahid
Sher
vaabasta merii yaad se kuchh talKHiyaa.n bhii thii.n
achchhaa kiyaa ki mujh ko faraamosh kar diyaa
Meem Hasan Lateefi
Sher
lutf-e-bahaar kuchh nahii.n go hai vahii bahaar
dil hii uja.D gayaa ki zamaana uja.D gayaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
yaa guftuguu ho un lab-o-ruKHsaar-o-zulf kii
yaa un KHamosh nazro.n ke lutf-e-suKHan kii baat
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
zamiin phail ga.ii hai hamaarii ruuh talak
jahaa.n kaa shor ab andar sunaa.ii detaa hai
Riyaz Latif
Sher
KHud apne aap se rahtaa hai aadmii naaraaz
udaasiyo.n ke bhii apne mizaaj hote hai.n