SEARCH RESULTS
Showing search results for "lauTe"
Sher MATCHES FOR "lauTe"
Sher
aaj kyaa lauTte lamhaat mayassar aa.e
yaad tum apnii inaayaat se ba.Dh kar aa.e
Rajinder Manchanda Bani
Sher
is shaan se lauTe hai.n ga.nvaa kar dil-o-jaa.n ham
is taur to haare hu.e lashkar nahii.n aate
Mohsin Naqvi
Sher
Gam bik rahe the mele me.n KHushiyo.n ke naam par
maayuus ho ke lauTe hai.n har ik dukaa.n se ham
Rajesh Reddy
Sher
Nazeer Baaqri
Sher
javaab Dhuu.nD ke saare jahaa.n se jab lauTe
hame.n to kar gayaa yak-laKHt laa-javaab ko.ii
Khaleel Mamoon
Sher
Anwar Sadeed
Sher
Sajjad Babar
Sher
jo hu.ii sub.h to dekhe na.e qadmo.n ke nishaa.n
aaj hii raat ko lauTe the safar se apne
Salim Saleem
Sher
u.Dne do parindo.n ko abhii shoKH havaa me.n
phir lauT ke bachpan ke zamaane nahii.n aate
Bashir Badr
Sher
tum parindo.n se ziyaada to nahii.n ho aazaad
shaam hone ko hai ab ghar kii taraf lauT chalo
Irfan Siddiqi
Sher
ghar lauT ke ro.e.nge maa.n baap akele me.n
miTTii ke khilaune bhii saste na the mele me.n
Qaisarul Jafri
Sher
Shahab Jafri
Sher
Ibrat Machlishahri
Sher
mai.n lauTne ke iraade se jaa rahaa huu.n magar
safar safar hai miraa intizaar mat karnaa
Sahil Sahri Nainitali
Sher
vo kahii.n bhii gayaa lauTaa to mire paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mire harjaa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
vo chaahtaa thaa ki kaasa KHariid le meraa
mai.n us ke taaj kii qiimat lagaa ke lauT aayaa