SEARCH RESULTS
Showing search results for "lauTne"
Sher MATCHES FOR "lauTne"
Sher
mai.n lauTne ke iraade se jaa rahaa huu.n magar
safar safar hai miraa intizaar mat karnaa
Sahil Sahri Nainitali
Sher
chaman se ruKHsat-e-gul hai na lauTne ke liye
to bulbulo.n kaa ta.Dapnaa yahaa.n pe jaa.ez hai
Unknown
Sher
kisii ke lauTne kii jab sadaa sunii to khulaa
ki mere saath ko.ii aur bhii safar me.n thaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
sunaa hai dhuup ko ghar lauTne kii jaldii hai
vo aaj vaqt se pahle hii shaam kar degii
Sardar Asif
Sher
Khalid Moin
Sher
vo jo anaa kii qaid me.n ab tak hai mutma.in
ab us ke lauTne kaa gumaa.n kis liye kare.n
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
mohtasib bhii pii ke mai loTe hai maiKHaane me.n aaj
haath laa piir-e-muGaa.n ye lauTne kii jaa.e hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
u.Dne do parindo.n ko abhii shoKH havaa me.n
phir lauT ke bachpan ke zamaane nahii.n aate
Bashir Badr
Sher
tum parindo.n se ziyaada to nahii.n ho aazaad
shaam hone ko hai ab ghar kii taraf lauT chalo
Irfan Siddiqi
Sher
ghar lauT ke ro.e.nge maa.n baap akele me.n
miTTii ke khilaune bhii saste na the mele me.n
Qaisarul Jafri
Sher
Shahab Jafri
Sher
Ibrat Machlishahri
Sher
Ibn e Insha
Sher
vo chaahtaa thaa ki kaasa KHariid le meraa
mai.n us ke taaj kii qiimat lagaa ke lauT aayaa
Rahat Indori
Sher
vo kahii.n bhii gayaa lauTaa to mire paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mire harjaa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
duniyaa ne tajrabaat o havaadis kii shakl me.n
jo kuchh mujhe diyaa hai vo lauTaa rahaa huu.n mai.n
Sahir Ludhianvi
Sher
chho.Dne mai.n nahii.n jaataa use darvaaze tak
lauT aataa huu.n ki ab kaun use jaataa dekhe