SEARCH RESULTS
Showing search results for "lautaane"
Sher MATCHES FOR "lautaane"
Sher
phir se bikhrii hai tirii zulf mire shaano.n par
vaqt aayaa hai ga.e vaqt ko lauTaane kaa
Tufail Bismil
Sher
Shoaib Nizam
Sher
mai.n lauTne ke iraade se jaa rahaa huu.n magar
safar safar hai miraa intizaar mat karnaa
Sahil Sahri Nainitali
Sher
Ibn e Insha
Sher
vo kahii.n bhii gayaa lauTaa to mire paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mire harjaa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
duniyaa ne tajrabaat o havaadis kii shakl me.n
jo kuchh mujhe diyaa hai vo lauTaa rahaa huu.n mai.n
Sahir Ludhianvi
Sher
Munawwar Rana
Sher
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTe.n
saliiqa-ma.nd shaaKHo.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai
Waseem Barelvi
Sher
talaaq de to rahe ho itaab-o-qahr ke saath
miraa shabaab bhii lauTaa do merii mahr ke saath
Sajid Sajni Lakhnawi
Sher
mai.n use dekh ke lauTaa huu.n to kyaa dekhtaa huu.n
shahr kaa shahr mujhe dekhne aayaa hu.aa hai
Abbas Tabish
Sher
dil ke luTne kaa sabab puuchho na sab ke saamne
naam aa.egaa tumhaaraa ye kahaanii phir sahii
Masroor Anwar
Sher
aaj kyaa lauTte lamhaat mayassar aa.e
yaad tum apnii inaayaat se ba.Dh kar aa.e
Rajinder Manchanda Bani
Sher
kaash lauTe.n mire paapaa bhii khilaune le kar
kaash phir se mire haatho.n me.n KHazaana aa.e
Ajay Sahaab
Sher
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
ajiib shaKHs thaa lauTaa gayaa miraa sab kuchh
mu.aavza na liyaa dekh-bhaal karne kaa
Mohsin Asrar
Sher
ye sach hai us se bichha.D kar mujhe zamaana hu.aa
magar vo lauTnaa chaahe to phir zamaana bhii kyaa
Abul Hasanat Haqqi
Sher
is shaan se lauTe hai.n ga.nvaa kar dil-o-jaa.n ham
is taur to haare hu.e lashkar nahii.n aate
Mohsin Naqvi
Sher
chaman se ruKHsat-e-gul hai na lauTne ke liye
to bulbulo.n kaa ta.Dapnaa yahaa.n pe jaa.ez hai