SEARCH RESULTS
Showing search results for "lazzat"
Sher MATCHES FOR "lazzat"
Sher
ulfat me.n baraabar hai vafaa ho ki jafaa ho
har baat me.n lazzat hai agar dil me.n mazaa ho
Ameer Minai
Sher
Allama Iqbal
Sher
miltii hai Gam se ruuh ko ik lazzat-e-hayaat
jo Gam-nasiib hai vo ba.Daa KHush-nasiib hai
Vafa Malikpuri
Sher
Azm Bahzad
Sher
lazzat-e-dard milii ishrat-e-ehsaas milii
kaun kahtaa hai ham us bazm se naakaam aa.e
Ali Jawad Zaidi
Sher
dekhnaa taqriir kii lazzat ki jo us ne kahaa
mai.n ne ye jaanaa ki goyaa ye bhii mere dil me.n hai
Mirza Ghalib
Sher
lazzat kabhii thii ab to musiibat sii ho ga.ii
mujh ko gunaah karne kii aadat sii ho ga.ii
Bekhud Mohani
Sher
honaa hai dard-e-ishq se gar lazzat-aashnaa
dil ko KHaraab-e-talKHii-e-hijraa.n to kiijiye
Safiya Shamim
Sher
aisii hii intizaar me.n lazzat agar na ho
to do gha.Dii firaaq me.n apnii basar na ho
Riyaz Khairabadi
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
lazzat-e-diid KHudaa jaane kahaa.n le jaa.e
aa.nkh hotii hai to hotaa nahii.n qaabuu dil par
Syed Amin Ashraf
Sher
be-ishq umr kaT nahii.n saktii hai aur yaa.n
taaqat ba-qadr-e-lazzat-e-aazaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
Aal-e-Raza Raza
Sher
vaa-hasrataa ki yaar ne khii.nchaa sitam se haath
ham ko hariis-e-lazzat-e-aazaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
rakhe hai lazzat-e-bosa se mujh ko gar mahruum
to apne tuu bhii na ho.nTo.n talak zabaa.n pahu.nchaa