SEARCH RESULTS
Showing search results for "lazzat-e-alam"
Sher MATCHES FOR "lazzat-e-alam"
Sher
vo un kaa va.ada vo iifaa-e-ahd kaa aalam
ki yaad bhii nahii.n aataa hai bhuultaa bhii nahii.n
Alam Muzaffar Nagari
Sher
Aal-e-Raza Raza
Sher
rusvaa agar na karnaa thaa aalam me.n yuu.n mujhe
aisii nigaah-e-naaz se dekhaa thaa kyuu.n mujhe
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
qaasid payaam un kaa na kuchh der abhii sunaa
rahne de mahv-e-lazzat-e-zauq-e-KHabar mujhe
Asar Lakhnavi
Sher
sab apnaa haal kahte rahe chaarasaaz se
mai.n thaa ki mahv-e-lazzat-e-dard-e-jigar rahaa
Jaleel Manikpuri
Sher
be-ishq umr kaT nahii.n saktii hai aur yaa.n
taaqat ba-qadr-e-lazzat-e-aazaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
jannat kii ne.amato.n kaa mazaa vaa.izo.n ko ho
ham to hai.n mahv lazzat-e-bos-o-kanaar me.n
Hatim Ali Mehr
Sher
lazzat-e-dard-e-mohabbat nahii.n hotii jis me.n
dil vo miTTii kaa vo miTTii kaa jigar hotaa hai
Jaleel Manikpuri
Sher
vo ek raat to mujh se alag na so.egaa
hu.aa jo lazzat-e-bos-o-kanaar se vaaqif
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
lazzat-e-dard-e-mohabbat jo numaayaa.n ho jaa.e
har farishte ko ye hasrat ho ki insaa.n ho jaa.e
Nisar yaar Jang Mizaj
Sher
Moin Ahsan Jazbi
Sher
KHuugar-e-lazzat-e-aazaar thaa itnaa 'aatish'
dard bhii maa.ngaa to pahle se sivaa maa.ngaa thaa
Aatish Bahawalpuri
Sher
vaa-hasrataa ki yaar ne khii.nchaa sitam se haath
ham ko hariis-e-lazzat-e-aazaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
rakhtaa hai talKH-kaam Gam-e-lazzat-e-jahaa.n
kyaa kiijiye ki lutf nahii.n kuchh gunaah kaa