SEARCH RESULTS
Showing search results for "leader"
Sher MATCHES FOR "leader"
Sher
coat aur patluun jab pahnaa to mister ban gayaa
jab ko.ii taqriir kii jalse me.n leader ban gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
qaum ke Gam me.n dinner khaate hai.n hukkaam ke saath
ra.nj leader ko bahut hai magar aaraam ke saath
Akbar Allahabadi
Sher
ham shaiKH na leader na musaahib na sahaafii
jo KHud nahii.n karte vo hidaayat na kare.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
millat kii aabruu ko milaataa hai KHaak me.n
leader hamaaraa kitnaa ba.Daa KHaaksaar hai
Rauf Raheem
Sher
izzat hai gadho.n kii na Thikaana hai gadho.n kaa
leader yahii kahtaa hai zamaana hai gadho.n kaa
Harfan Lakhnavi
Sher
ban ke leader so rahe to zindagii kis kaam kii
amn qaa.em ho gayaa to leaderii kis kaam kii
Haji Laq Laq
Sher
Masroor Shahjahanpuri
Sher
Wahid Ansari Burhanpur
Sher
Popular Meeruthi
Sher
Rauf Raheem
Sher
leader jo nazar aa.e to bolo ye adab se
taqriir me.n tum garmi-e-whiskey se jilaa do
Asrar jamayee
Sher
hai ajab baat ki leader to bhalaa cha.ngaa rahaa
aa.iina dekhaa jo kutte ne to dam to.D diyaa
Athar Shah Khan Jaidi
Sher
leader kii ye pahchaan ki vo phuultaa jaa.e
shaa.ir kii ye pahchaan ki moTaa nahii.n hotaa
Rauf Raheem
Sher
jo safaayaa qaum kaa kar de vahii leader hai aaj
ho safaa.ii haath me.n jis ke vo hai ahl-e-hunar
ismatullah ismat beg
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
kahii.n na un kii nazar se nazar kisii kii la.De
vo is lihaaz se aa.nkhe.n jhukaa.e baiThe hai.n