SEARCH RESULTS
Showing search results for "lutf-e-be-sabab"
Sher MATCHES FOR "lutf-e-be-sabab"
Sher
kabhii mai.n jur.at-e-iz.haar-e-mudda.aa to karuu.n
ko.ii javaaz to ho lutf-e-be-sabab ke liye
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
tire visaal kii kab aarzuu rahii dil ko
ki ham ne chaahaa tujhe shauq-e-be-sabab ke liye
Azeem Quraishi
Sher
ye be-sabab nahii.n aa.e hai.n aa.nkh me.n aa.nsuu
KHushii kaa lamha ko.ii yaad aa gayaa hogaa
Akhtar Saeed Khan
Sher
shauq-e-safar be-sabab aur safar be-talab
us kii taraf chal diye jis ne pukaaraa na thaa
Shahzad Ahmad
Sher
be-sabab jama.a to kartaa nahii.n tiir o tarkash
kuchh hadaf hogaa zamaane kii sitamgaarii kaa
Ejaz Gul
Sher
Wahid Premi
Sher
yahii to kufr hai yaaraan-e-be-KHudii ke huzuur
jo kufr-o-dii.n kaa mire yaar imtiyaaz rahaa
Mirza Ali Lutf
Sher
safar na ho to ye lutf-e-safar hai be-ma.anii
badan na ho to bhalaa kyaa qabaa me.n rakkhaa hai
Krishna Kumar Toor
Sher
be-sabab zalzala 'aalam me.n nahii.n aataa hai
ko.ii betaab tah-e-KHaak ta.Daptaa hogaa
Ameer Minai
Sher
sadiyo.n me.n jaa ke bantaa hai aaKHir mizaaj-e-dahr
'madnii' ko.ii taGayyur-e-aalam hai be-sabab
Aziz Hamid Madni
Sher
Khan Rizwan
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
baad-e-tark-e-ulfat bhii yuu.n to ham jiye lekin
vaqt be-tarah biitaa umr be-sabab guzrii