SEARCH RESULTS
Showing search results for "luuluu"
Sher MATCHES FOR "luuluu"
Sher
mausam 'ajiib rahtaa hai dil ke dayaar kaa
aage hai.n luu ke jho.nke bhii ThanDii havaa ke ba.ad
Qaisar Shameem
Sher
tuu june kii garmii se na ghabraa ki jahaa.n me.n
ye luu to hamesha na rahii hai na rahegii
Sharif kunjahi
Sher
KHaalii na andaliib kaa soz-e-nafas gayaa
vo luu chalii ki rang gulo.n kaa jhulas gayaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
ye haal hai to badan ko bachaa.iye kab tak
sadaa me.n dhuup bahut hai lahuu me.n luu hai bahut
Zafar Iqbal
Sher
luu ho sabaa ho yaa purvaa.ii sab ke saath chalo
sab hai.n said-e-rah-e-tanhaa.ii sab ke saath chalo
Habeeb Fakhri
Sher
kisii ke aqd me.n rahtii nahii.n hai luulii-e-dahr
ye qahba roz-e-azal se hai kuchh talaaq-nasiib