SEARCH RESULTS
Showing search results for "machaa.e.n"
Sher MATCHES FOR "machaa.e.n"
Sher
aap pahluu me.n jo baiThe.n to sambhal kar baiThe.n
dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane kii
Jaleel Manikpuri
Sher
ham ne tujhe dekhaa nahii.n kyaa eid manaa.e.n
jis ne tujhe dekhaa ho use eid mubaarak
Liyaqat Ali Aasim
Sher
jab tujhe yaad kar liyaa sub.h mahak mahak uThii
jab tiraa Gam jagaa liyaa raat machal machal ga.ii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
shaam aa.e aur ghar ke liye dil machal uThe
shaam aa.e aur dil ke liye ko.ii ghar na ho
Akhtar Usman
Sher
mujh me.n saat samundar shor machaate hai.n
ek KHayaal ne dahshat phailaa rakkhii hai
Saqi Faruqi
Sher
phuul khile hai.n likhaa hu.aa hai to.Do mat
aur machal kar jii kahtaa hai chho.Do mat
Ameeq Hanafi
Sher
KHud apnii mastii hai jis ne machaa.ii hai halchal
nasha sharaab me.n hotaa to naachtii botal
Arif Jalali
Sher
yuu.n tirii yaad me.n din raat magan rahtaa huu.n
dil dh.Daknaa tire qadmo.n kii sadaa lagtaa hai
Shahzad Ahmad
Sher
aasmaa.n apne iraado.n me.n magan hai lekin
aadmii apne KHayaalaat liye phirtaa hai
Anwar Masood
Sher
achchhii suurat nazar aate hii machal jaataa hai
kisii aafat me.n na Daale dil-e-naashaad mujhe
Jaleel Manikpuri
Sher
Iftikhar Arif
Sher
ye KHaamosh mizaajii tumhe jiine nahii.n degii
is daur me.n jiinaa hai to kohraam machaa do
Unknown
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
KHatre ke nishaanaat abhii duur hai.n lekin
sailaab kinaaro.n pe machalne to lage hai.n
Nida Fazli
Sher
ajiib shor machaane lage hai.n sannaaTe
ye kis tarah kii KHamoshii har ik sadaa me.n hai
Asim Wasti
Sher
abhii kamsin hai.n zide.n bhii hai.n niraalii un kii
is pe machle hai.n ki ham dard-e-jigar dekhe.nge