SEARCH RESULTS
Showing search results for "madh-o-zam"
Sher MATCHES FOR "madh-o-zam"
Sher
nikle hai.n ghar se dekhne ko log maah-e-iid
aur dekhte hai.n abruu-e-KHamdaar kii taraf
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
jo mah o saal guzaare hai.n bichha.D kar ham ne
vo mah o saal agar saath guzaare hote
Adeem Hashmi
Sher
sameT le.n mah o KHurshiid raushnii apnii
salaahiyat hai zamii.n me.n bhii jagmagaane kii
Mazhar Imam
Sher
charKH ko madd-e-nazar hai khii.nchnaa puurii shabiih
maah-e-nau to sirf KHaaka hai tirii tasviir kaa
Jaleel Manikpuri
Sher
mai pii ke iid kiijiye guzraa mah-e-siyaam
tasbiih rakhiye saaGar-o-miinaa uThaa.iye
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
ham chaahte the maah-e-daraKHshaa.n ko dekhnaa
us ne hame.n dariiche se chehra dikhaa diyaa
Ayesha Masood Malik
Sher
ghaayal vajuud soch kii baisaakhiyaa.n liye
milne chalaa hai guzre hu.e maah-o-saal se
Baharunnisa Bahar
Sher
maah-e-nau dekhne tum chhat pe na jaanaa hargiz
shahr me.n eid kii taariiKH badal jaa.egii
Jaleel nizami
Sher
dono.n bahr-e-shola-e-zaat dono.n asiir-e-anaa
dariyaa ke lab par paanii dasht ke lab par pyaas
Krishna Kumar Toor
Sher
vird-e-ism-e-zaat kholaa chaahtaa hai ye girah
mere dil par daa.nt hai allaah kii tashdiid kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
shor hariim-e-zaat me.n aaKHir uTThaa kyuu.n
andar dekhaa jaa.e ki baahar dekhaa jaa.e
Ahmad Mahfuz
Sher
abruu kaa ishaara kiyaa tum ne to hu.ii iid
ai jaan yahii hai mah-e-shavval hamaaraa
Hatim Ali Mehr
Sher
mirii ibtidaa mirii intihaa kahii.n aur hai
mai.n shumaara-e-mah-o-saal me.n nahii.n aa.uu.ngaa