SEARCH RESULTS
Showing search results for "mafhuum"
Sher MATCHES FOR "mafhuum"
Sher
vo nasha hai ke zabaa.n aql se kartii hai fareb
tuu mirii baat ke mafhuum pe jaataa hai kahaa.n
Pallav Mishra
Sher
qur.aan kaa mafhuum unhe.n kaun bataa.e
aa.nkho.n se jo chehro.n kii tilaavat nahii.n karte
Khursheed Akbar
Sher
mushkil hai bahut un kii nigaaho.n ko samajhnaa
iqraar kaa mafhuum bhii iqraar nahii.n hai
Akhtar Jameel Nazmi
Sher
ta.ng aa gayaa huu.n vusat-e-mafhuum-e-ishq se
niklaa jo harf mu.nh se vo afsaana ho gayaa
Ahsan Marahravi
Sher
kis kis ko bataa.uu.n ki mai.n buzdil nahii.n 'raaGib'
is daur me.n mafhuum-e-sharaafat hii alag hai
Iftikhar Raghib
Sher
'mohsin' aur bhii nikhregaa in shero.n kaa mafhuum
apne aap ko pahchaane.nge jaise jaise log
Mohsin Bhopali
Sher
dil-e-aabaad kaa 'faanii' ko.ii mafhuum nahii.n
haa.n magar jis me.n ko.ii hasrat-e-barbaad rahe
Fani Badayuni
Sher
kaan sunte to hai.n lekin na samajhne ke liye
ko.ii samjhaa bhii to mafhuum nayaa maa.nge hai
Ali Zaheer Rizvi Lakhnavi
Sher
aur kyaa mafhuum hogaa KHud-farebii ke sivaa
tishnagii jalte hu.e suuraj pe gar zaahir kare.n
Badr Muneer
Sher
hayaat le ke chalo kaa.enaat le ke chalo
chalo to saare zamaane ko saath le ke chalo
Makhdoom Mohiuddin
Sher
chal saath ki hasrat dil-e-marhuum se nikle
aashiq kaa janaaza hai zaraa dhuum se nikle
Fidvi Lahori
Sher
maazii-e-marhuum kii naakaamiyo.n kaa zikr chho.D
zindagii kii fursat-e-baaqii se ko.ii kaam le
Seemab Akbarabadi
Sher
Makhdoom Mohiuddin
Sher
ishq ke sho.ale ko bha.Dkaa.o ki kuchh raat kaTe
dil ke a.ngaare ko dahkaa.o ki kuchh raat kaTe