SEARCH RESULTS
Showing search results for "mafhuum"
Ghazal MATCHES FOR "mafhuum"
Ghazal
un se mafhuum-e-Gam-e-ziist adaa ho shaayad
ashk jo daaman-e-mizhgaa.n ne sambhaale ho.nge
Parwaz Jalandhari
Ghazal
tazaad-e-zaat ke baa.is khulaa vo kam-suKHan aisaa
adhuurii baat ke mafhuum bhii puure nikal aa.e
Khalid Moin
Ghazal
qur.aan kaa mafhuum unhe.n kaun bataa.e
aa.nkho.n se jo chehro.n kii tilaavat nahii.n karte
Khursheed Akbar
Ghazal
lafz chuntaa huu.n to mafhuum badal jaataa hai
ik na ik KHauf bhii hai jur.at-e-iz.haar ke saath
Qateel Shifai
Ghazal
lafz kis shaan se taKHliiq hu.aa thaa lekin
us kaa mafhuum badalte rahe nuqte kyaa kyaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
bas ek ishq hii aisaa sharaab-KHaana hai
jahaa.n suruur kaa mafhuum hosh aanaa hai
Kaif Moradaabadi
Ghazal
ham ne to 'fanaa' itnaa mafhuum-e-Gazal samjhaa
KHud zindagii-e-shaa'ir ash.aar me.n Dhal jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Ghazal
kahii.n aisaa na ho harf-e-du.aa mafhuum kho de
du.aa ko suurat-e-fariyaad rakhnaa chaahte hai.n
Iftikhar Arif
Ghazal
ko.ii mafhuum tasavvur me.n na thaa
ko.ii bhii baat kahaanii me.n na thii
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
un se kuchh kah to rahaa huu.n magar allaah kare
vo bhii mafhuum na samjhe.n mire afsaane kaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
dahkaa thaa chaman aur dam-e-sub.h kisii ne
ik aur hii mafhuum gul-e-tar se nikaalaa
Sarvat Husain
Ghazal
lafzo.n kii jaan chho.D de mafhuum ko paka.D
varna ye sab mu'aamla tajniis-e-taam hai
Shuja Khaavar
Ghazal
dil kaa mafhuum ishaaro.n se ujaagar na hu.aa
be-kasii-e-gila-e-KHaam pe ronaa aayaa
Shakeb Jalali
Ghazal
mere lahje pe na jaa qaul kaa mafhuum samajh
baat sachchii ho to lahja nahii.n dekhaa jaataa
Nafas Ambalvi
Ghazal
Sarvat Husain
Ghazal
nisbat hii nahii.n ko.ii mohabbat ko KHirad se
ai dil kabhii mafhuum-e-mohabbat na samajhnaa