SEARCH RESULTS
Showing search results for "mahsuus"
Sher MATCHES FOR "mahsuus"
Sher
Gam aur KHushii me.n farq na mahsuus ho jahaa.n
mai.n dil ko us maqaam pe laataa chalaa gayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke baavajuud
mahsuus kii hai terii zaruurat kabhii kabhii
Nasir Kazmi
Sher
mahsuus ho rahaa hai ki mai.n KHud safar me.n huu.n
jis din se rail par mai.n tujhe chho.Dne gayaa
Kaif Ahmed Siddiqui
Sher
tire pahluu me.n kyuu.n hotaa hai mahsuus
ki tujh se duur hotaa jaa rahaa huu.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
jaise mirii nigaah ne dekhaa na ho kabhii
mahsuus ye hu.aa tujhe har baar dekh kar
Shad Azimabadi
Sher
Moghisuddin Fareedi
Sher
saamne maa.n ke jo hotaa huu.n to allaah allaah
mujh ko mahsuus ye hotaa hai ki bachcha huu.n abhii
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
rulaa.egii mirii yaad un ko muddato.n saahab
kare.nge bazm me.n mahsuus jab kamii merii
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
dekhaa hai kis nigaah se tuu ne sitam-zariif
mahsuus ho rahaa hai mai.n Garq-e-sharaab huu.n
Abdul Hamid Adam
Sher
kuchh is tarah shariik tirii anjuman me.n huu.n
mahsuus ho rahii hai KHud apnii kamii mujhe
Sadiq-ul-Qadri
Sher
laa.ii hai kis maqaam pe ye zindagii mujhe
mahsuus ho rahii hai KHud apnii kamii mujhe
Ali Ahmad Jalili
Sher
un kii nigaah-e-naaz kii gardish ke saath saath
mahsuus ye hu.aa ki zamaana badal gayaa
Shaukat Pardesi
Sher
Adeem Hashmi
Sher
shabaab naam hai us jaa.n-navaaz lamhe kaa
jab aadmii ko ye mahsuus ho javaa.n huu.n mai.n
Akhtar Ansari
Sher
mahsuus bhii ho jaa.e to hotaa nahii.n bayaa.n
naazuk saa hai jo farq gunaah o savaab me.n