SEARCH RESULTS
Showing search results for "mai-gar"
Sher MATCHES FOR "mai-gar"
Sher
mat puuchhiye kyaa jiitne niklaa thaa mai.n ghar se
ye dekhiye kyaa haar ke lauTaa huu.n safar se
Zia Faooqui
Sher
mai.n ghar ko phuu.nk rahaa thaa ba.De yaqiin ke saath
ki terii raah me.n pahlaa qadam uThaanaa thaa
Akhtar Shumar
Sher
mai.n ghar se terii tamannaa pahan ke jab nikluu.n
barahna shahr me.n ko.ii nazar na aa.e mujhe
Qateel Shifai
Sher
Yasmeen Habeeb
Sher
mai.n ghar basaa ke samundar ke biich soyaa thaa
uThaa to aag kii lapTo.n me.n thaa makaan miraa
Nashtar Khaanqahi
Sher
ye kyaa ki roz pahu.nch jaataa huu.n mai.n ghar apne
ab apnii jeb me.n apnaa pata na rakkhaa jaa.e
Bharat Bhushan Pant
Sher
mai.n Garq ho rahaa thaa ki tuufaan-e-ishq ne
ik mauj-e-be-qaraar ko saahil banaa diyaa
Dil Shahjahanpuri
Sher
mar ga.ii band lifaafe me.n mohabbat merii
sirf usii ne na pa.Dhe jis ko pa.Dhaane the KHat
M.S Mahawar
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
chhupaa.e huu.n mai.n Gam-e-ishq apnii rag rag me.n
na chaak hai miraa daaman na aastii.n nam hai
Jageshwar Dayal Nashtar Kanpuri
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
tujhe mai.n Gaur se dekhuu.n mai.n tujh se pyaar karuu.n
ai mere but tuu mire but-kado.n se baahar aa
Jawayd Anwar
Sher
tum ye kahte ho ki mai.n Gair huu.n phir bhii shaayad
nikal aa.e ko.ii pahchaan zaraa dekh to lo
Javed Akhtar
Sher
va.ade pe tum na aa.e to kuchh ham na mar ga.e
kahne ko baat rah ga.ii aur din guzar ga.e