SEARCH RESULTS
Showing search results for "mai-kasho"
Sher MATCHES FOR "mai-kasho"
Sher
Kaif Bhopali
Sher
mai-kasho mai kii kamii beshii pe naahaq josh hai
ye to saaqii jaantaa hai kis ko kitnaa hosh hai
Natiq Lakhnavi
Sher
mai-kasho der hai kyaa daur chale bismillaah
aa.ii hai shiisha-o-saaGar kii talabgaar ghaTaa
Aagha Akbarabadi
Sher
mai-kasho muzhda ki baaqii na rahii qaid-e-makaa.n
aaj ik mauj bahaa le ga.ii maiKHaane ko
Jigar Moradabadi
Sher
talKH o shiirii.n be-takalluf jis ko piinaa aa gayaa
mai-kasho piinaa to piinaa us ko jiinaa aa gayaa
Mohammad Hasan Mohsin
Sher
muvaafaqat kare kyuu.n mai-kasho.n satii zaahid
idhar sharaab udhar masjid-o-musallaa hai
Siraj Aurangabadi
Sher
KHudaa kare tujhe tahziib-e-mai-kashii ho nasiib
KHudaa kare tujhe nashsha samajh me.n aa jaa.e
Nadeem Bhabha
Sher
mai-kasho.n me.n na ko.ii mujh saa namaazii hogaa
dar-e-mai-KHaana pe bichhtaa hai musallaa apnaa
Aagha Akbarabadi
Sher
mai-kashii gardish-e-ayyaam se aage na ba.Dhii
merii madhoshii mire jaam se aage na ba.Dhii
Hakeem Nasir
Sher
na mai-kashii na ibaadat hamaarii aadat hai
ki saamne ko.ii kaam aa gayaa to kar lenaa
Natiq Gulavthi
Sher
dil kii baate.n duusro.n se mat kaho luT jaa.oge
aaj kal iz.haar ke dhandhe me.n hai ghaaTaa bahut
Shuja Khaavar
Sher
tuu ne qasam mai-kashii kii khaa.ii hai 'Gaalib'
terii qasam kaa kuchh e'tibaar nahii.n hai
Mirza Ghalib
Sher
tuu us nigaah se pii vaqt-e-mai-kashii 'taabaa.n'
kii jis nigaah pe qurbaan paarsaa.ii ho
Anwar Taban
Sher
mai-kashii ke bhii kuchh aadaab baratnaa siikho
haath me.n apne agar jaam liyaa hai tum ne