SEARCH RESULTS
Showing search results for "maidaa"
Sher MATCHES FOR "maidaa"
Sher
kafan ai gard-e-lahad dekh na mailaa ho jaa.e
aaj hii ham ne ye kap.De hai.n nahaa ke badle
Fani Badayuni
Sher
chaa.nd me.n kaise nazar aa.e tirii suurat mujhe
aa.ndhiyo.n se aasmaa.n kaa rang mailaa ho gayaa
Afzal Minhas
Sher
begam bhii hai.n kha.Dii hu.ii maidaan-e-hashr me.n
mujh se mire gunah kaa hisaab ai KHudaa na maa.ng
Hashim Azimabadi
Sher
nazaakat us gul-e-raanaa kii dekhiyo 'inshaa'
nasiim-e-sub.h jo chhuu jaa.e rang ho mailaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
Nazm Tabatabai
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
baahar saare maidaa.n jiit chukaa thaa vo
ghar lauTaa to pal bhar me.n hii TuuTaa thaa
Ambar Bahraichi
Sher
merii aa.nkho.n me.n anokhe jurm kii tajviiz thii
sirf dekhaa thaa use us kaa badan mailaa hu.aa
Saqi Faruqi
Sher
utre the maidaan me.n sab kuchh Thiik kare.nge
sab kuchh ulTaa siidhaa kar ke baiTh ga.e hai.n
Abdul Hamid
Sher
laazim kahaa.n ki saaraa jahaa.n KHush-libaas ho
mailaa badan pahan ke na itnaa udaas ho
Wazir Agha
Sher
dono.n ke dil me.n KHauf thaa maidaan-e-ja.ng me.n
dono.n kaa KHauf faasla thaa darmiyaan kaa
Mohammad Alvi
Sher
majnuu.n se jo nafrat hai diivaanii hai tuu lailaa
vo KHaak u.Daataa hai lekin nahii.n dil mailaa
Natiq Gulavthi
Sher
agarii kaa hai gumaa.n shak hai malaagiirii kaa
ra.ng laayaa hai dupaTTa tiraa mailaa ho kar
Rind Lakhnavi
Sher
ga.e hai.n yaar apne apne ghar daalaan KHaalii hai
agar tum aa milo aise me.n to maidaan KHaalii hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
fasl-e-bahaar sehn-e-chaman yaar-e-mai-ba-kaf
kyuu.n zaahido haraam hai piinaa sharaab kaa